शब्द सारे मौन होकर सम्मिलित मुस्कान में।
कपकपाँती भंगिमाएँ कह रहीं कुछ कान में।
लक्षणा अभिधा सखी,
अभिव्यंजना तक मौन है।
मौन की यह डोर थामे,
अद्वितीय वह कौन है?
है सुनिश्चित यह स्वयं को,
हमने अर्पण कर दिया।
जाने कैसी गंध है उस बाँसुरी की तान में।
शब्द सारे मौन होकर सम्मिलित मुस्कान में।
अव्यक्त की अभिव्यक्तियाँ,
हैं अनवरत जारी सखी।
अनुभूति के किस भावनद में,
बह रही प्यारी सखी?
प्रश्न करती भावनाएँ,
थक गई हैं हारकर।
खो गई है चेतना भी, मौन के चिर ध्यान में।
शब्द सारे मौन होकर सम्मिलित मुस्कान में।
पंख लगते गीत में अब,
प्राण उगते शब्द में।
भाव की लड़ियाँ लगीं हर
शब्द के प्रारब्ध में।
गीत भी शृंगार कर,
प्रकृति सरीखे हो रहे।
उनका काजल मैं करूँगी, व्यस्त हूँ इस भान में।
शब्द सारे मौन होकर सम्मिलित मुस्कान मे।
shabd sare maun hokar sammilit muskan mein.
kapakpanti bhangimayen kah rahin kuch kaan mein.
lakshna abhidha sakhi,
abhivyanjna tak maun hai.
maun ki ye Dor thame,
advitiy wo kaun hai?
hai sunishchit ye svayan ko,
hamne arpan kar diya.
jane kaisi gandh hai us bansuri ki taan mein.
shabd sare maun hokar sammilit muskan mein.
avyakt ki abhivyaktiyan,
hain anavrat jari sakhi.
anubhuti ke kis bhavnad mein,
bah rahi pyari sakhi?
parashn karti bhavnayen,
thak gayi hain harkar.
kho gai hai chetna bhi, maun ke chir dhyaan mein.
shabd sare maun hokar sammilit muskan mein.
pankh lagte geet mein ab,
praan ugte shabd mein.
bhaav ki laDiyan lagin har
shabd ke prarabdh mein.
geet bhi shringar kar,
prkriti sarikhe ho rahe.
unka kajal main karungi, vyast hoon is bhaan mein.
shabd sare maun hokar sammilit muskan mae.

स्रोत :
रचनाकार : आकृति विज्ञा 'अर्पण’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.