शब्द सुंदर मोहक या अद्भुत रहे होंगे
पर विषयों की सत्ता सिद्ध करने में शब्द असमर्थ रहे
यहाँ इंद्रियों की जीत हुई
आलोचना और प्रशंसा में शब्द सहायक रहे
पर प्रेम बिना इंद्रियों के कहाँ संभव हुआ
अकेले और अधूरे पड़ गए शब्द वहाँ
इंद्रियों के अभाव में
रूप, रस, रंग, गंध और स्पर्श को जानने में
शब्द असमर्थ रहे
आँखों की सुआपंखी हरियाली को कहाँ रंग दे पाए शब्द
आँखों से उतर कर
होंठों तक आए अश्रुओं को
कब चख पाए शब्द
मिठास का रस भी जिह्वा ने ही जाना
कब सोखा हृदय की नमी या सूनेपन को शब्दों ने
आख़िर तो उसको आलिंगन ने ही बाँधा...
आराधना की साधना में संगीत के मोती जिह्वा ने पिरोए
तो मुस्कान को बंकिम छवि होंठों ने दी
मन की गहराई और आसमान की ऊँचाई भी
आँखों ने ही नापी
नासिका ने सुगंध से
रंध्रों को महकाया
और माथे को सहलाया...
कर्णप्रिय संगीत की ध्वनि ने
प्रियतम की प्रियता को सिद्ध किया...
shabd sundar mohak ya adbhut rahe honge
par vishyon ki satta siddh karne mein shabd asmarth rahe
yahan indriyon ki jeet hui
alochana aur prashansa mein shabd sahayak rahe.
par prem bina indriyon ke kahan sambhav hua
akele aur adhure paD gaye shabd vahan
indriyon ke abhav mein
roop, ras, rang, gandh aur sparsh
ko janne mein
shabd asmarth rahe
ankhon ki suapankhi hariyali ko kahan rang de pae shabd
ankhon se utar kar
honthon tak aaye ashruon ko
kab chakh pae shabd
mithas ka ras bhi jivha ne hi jana
kab sokha hirdai ki namin ya sunepan ko shabdon ne
akhir to usko alingan ne hi bandha. . .
aradhana ki sadhana mein sangit ke moti jivha ne piroe
to muskan ko bankim chhavi hothon ne di
man ki gahrai aur asman ki unchai bhi ankhon ne hi napi
nasika ne sugandh se
randhron ko mahkaya
aur mathe ko sahlaya. . .
karn priy sangit ki dhvani ne priytam ki priyta ko siddh kiya. . .
shabd sundar mohak ya adbhut rahe honge
par vishyon ki satta siddh karne mein shabd asmarth rahe
yahan indriyon ki jeet hui
alochana aur prashansa mein shabd sahayak rahe.
par prem bina indriyon ke kahan sambhav hua
akele aur adhure paD gaye shabd vahan
indriyon ke abhav mein
roop, ras, rang, gandh aur sparsh
ko janne mein
shabd asmarth rahe
ankhon ki suapankhi hariyali ko kahan rang de pae shabd
ankhon se utar kar
honthon tak aaye ashruon ko
kab chakh pae shabd
mithas ka ras bhi jivha ne hi jana
kab sokha hirdai ki namin ya sunepan ko shabdon ne
akhir to usko alingan ne hi bandha. . .
aradhana ki sadhana mein sangit ke moti jivha ne piroe
to muskan ko bankim chhavi hothon ne di
man ki gahrai aur asman ki unchai bhi ankhon ne hi napi
nasika ne sugandh se
randhron ko mahkaya
aur mathe ko sahlaya. . .
karn priy sangit ki dhvani ne priytam ki priyta ko siddh kiya. . .
स्रोत :
रचनाकार : प्रमिला शंकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.