साक्षात्कार देने आए प्रत्याशियों की पंक्ति में
उस मुसलमान लड़के से पूछ रहा है बग़ल का प्रत्याशी
कल हुए विस्फोट का सच
बम रखने वाले आतंकवादियों की संख्या
उसका चेहरा, और उसका तरीक़ा
उससे पूछा जा रहा है कि
बम विस्फोट करने से ऐन पहले उन आतंकवादियों ने
किस होटल में खाया था गोश्त और चावल
उस मुसलमान प्रत्याशी से पूछा जा रहा है
उसकी क़मीज़, उसके जूते की क़ीमत
और साथ में यह भी कि
उसे ज़रूरत ही क्या है इस नौकरी की?
पैसों के लिए उसे नौकरी करने की क्या ज़रूरत है
समाज के इस माने हुए सच को
उसे फिर सुनाया जा रहा है
उसकी तार को बिना कहे ही यहाँ और वहाँ से
जोड़ा जा रहा है
वह मुसलमान प्रत्याशी
जो डरा हुआ था उस साक्षात्कार से
अब डर रहा है अपने वजूद से
वह डर रहा है अपने होने से
वह डर रहा है अपने जीवन से और मुसलमान शब्द से
मुझे डर है कि
कहीं कुछ दिनों, कुछ महीनों, कुछ वर्षों में
इस दुनिया के सारे इतिहासों और शब्दकोशों में से
मुसलमान शब्द को उड़ाकर उसकी जगह पर
आतंकवादी न लिख दिया जाए
आज से सैकड़ों वर्ष बाद जब
सारे बच्चे पूछेंगे इस आतंकवादी का अर्थ
तब उसको बताया जाएगा कि एक समय था
जब इस धरती को किसी की नज़र लग गई थी
एक पूरी क़ौम ने
इसे काले साए की तरह घेर लिया था
एक पूरी क़ौम जिसका बच्चा-बच्चा
बम फोड़ना जानता था
उस मुसलमान प्रत्याशी के पिता मारे जा चुके हैं
उस मुसलमान प्रत्याशी की चार बहनें शादी के इंतज़ार में
जवानी पार कर चुकी हैं
और उसकी माँ के पान खाए मुँह में कैंसर है
उस मुसलमान लड़के की बहनें बूढ़ी हो रही हैं
उस मुसलमान लड़के की माँ मर रही है
वह मुसलमान लड़का घर में बंद है
चुपचाप, शांत, निरीह।
sakshatkar dene aaye pratyashiyon ki pankti mein
us musalman laDke se poochh raha hai baghal ka pratyashi
kal hue wisphot ka sach
bam rakhne wale atankwadiyon ki sankhya
uska chehra, aur uska tariqa
usse puchha ja raha hai ki
bam wisphot karne se ain pahle un atankwadiyon ne
kis hotel mein khaya tha gosht aur chawal
us musalman pratyashi se puchha ja raha hai
uski qamiz, uske jute ki qimat
aur sath mein ye bhi ki
use zarurat hi kya hai is naukari kee?
paison ke liye use naukari karne ki kya zarurat hai
samaj ke is mane hue sach ko
use phir sunaya ja raha hai
uski tar ko bina kahe hi yahan aur wahan se
joDa ja raha hai
wo musalman pratyashi
jo Dara hua tha us sakshatkar se
ab Dar raha hai apne wajud se
wo Dar raha hai apne hone se
wo Dar raha hai apne jiwan se aur musalman shabd se
mujhe Dar hai ki
kahin kuch dinon, kuch mahinon, kuch warshon mein
is duniya ke sare itihason aur shabdkoshon mein se
musalman shabd ko uDakar uski jagah par
atankwadi na likh diya jaye
aj se saikDon warsh baad jab
sare bachche puchhenge is atankwadi ka arth
tab usko bataya jayega ki ek samay tha
jab is dharti ko kisi ki nazar lag gai thi
ek puri qaum ne
ise kale saye ki tarah gher liya tha
ek puri qaum jiska bachcha bachcha
bam phoDna janta tha
us musalman pratyashi ke pita mare ja chuke hain
us musalman pratyashi ki chaar bahnen shadi ke intzar mein
jawani par kar chuki hain
aur uski man ke pan khaye munh mein cancer hai
us musalman laDke ki bahnen buDhi ho rahi hain
us musalman laDke ki man mar rahi hai
wo musalman laDka ghar mein band hai
chupchap, shant, nirih

स्रोत :
रचनाकार : उमाशंकर चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.