दादा जोगिंदर सिंह का घर
लाहौर में था
सामने जो भुतहा घर है
बँटवारे से पहले उसमें
दादा मिर्ज़ा अनवर बेग रहते थे
धर्मशाला में रह रहे
दलाईलामा का घर
तिब्बत में है
कश्मीर के दीनानाथ रह रहे हैं
दिल्ली के शरणार्थी कैंप में
वर्षों पहले भागलपुर गया सुरेश
आज तक नहीं लौटा
सलीम को गए पूरा वर्ष हो गया
नहीं लौटा अलीगढ़ के रास्ते
बोकारो के कामगार देविंदर की पत्नी
रोती-बिलखती विधवा लौटी
शहर के गांधी मार्ग से
शाम सात बजे के बाद
कोई नहीं गुज़रता
गुज़रने की बाक़ी जगहों पर
कुछ लोग
दीवारें खड़ी कर रहे हैं
बाक़ी लोग
दीवारों से टकरा-टकरा कर
लगातार टकरा रहे हैं
कैसी होती जा रही है
यह दुनिया
यहाँ
सपनों के डर से लोग
रात-रात-भर सोते नहीं हैं
dada jogindar sinh ka ghar
lahore mein tha
samne jo bhutha ghar hai
bantware se pahle usmen
dada mirza anwar beg rahte the
dharmshala mein rah rahe
dalailama ka ghar
tibbat mein hai
kashmir ke dinanath rah rahe hain
dilli ke sharnarthi kaimp mein
warshon pahle bhagalpur gaya suresh
aj tak nahin lauta
salim ko gaye pura warsh ho gaya
nahin lauta aligaDh ke raste
bokaro ke kamgar dewindar ki patni
roti bilakhti widhwa lauti
shahr ke gandhi marg se
sham sat baje ke baad
koi nahin guzarta
guzarne ki baqi jaghon par
kuch log
diwaren khaDi kar rahe hain
baqi log
diwaron se takra takra kar
lagatar takra rahe hain
kaisi hoti ja rahi hai
ye duniya
yahan
sapnon ke Dar se log
raat raat bhar sote nahin hain
dada jogindar sinh ka ghar
lahore mein tha
samne jo bhutha ghar hai
bantware se pahle usmen
dada mirza anwar beg rahte the
dharmshala mein rah rahe
dalailama ka ghar
tibbat mein hai
kashmir ke dinanath rah rahe hain
dilli ke sharnarthi kaimp mein
warshon pahle bhagalpur gaya suresh
aj tak nahin lauta
salim ko gaye pura warsh ho gaya
nahin lauta aligaDh ke raste
bokaro ke kamgar dewindar ki patni
roti bilakhti widhwa lauti
shahr ke gandhi marg se
sham sat baje ke baad
koi nahin guzarta
guzarne ki baqi jaghon par
kuch log
diwaren khaDi kar rahe hain
baqi log
diwaron se takra takra kar
lagatar takra rahe hain
kaisi hoti ja rahi hai
ye duniya
yahan
sapnon ke Dar se log
raat raat bhar sote nahin hain
स्रोत :
पुस्तक : कोई मेरी फ़ोटो ले रहा है (पृष्ठ 50)
रचनाकार : रामकुमार तिवारी
प्रकाशन : सूर्य प्रकाशन मंदिर
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.