आज शाम सूरज बहुत बड़ा और लाल था।
ऐसा नहीं कि सूरज मैंने
कभी देखा नहीं
या
पहली ही बार देखा।
पर आज लाल अंगारे-सा
जैसा उसका रूप था,
पहले कभी नहीं देखा।
डूबता सूरज भी इतना लाल होता है?
होता होगा!
मेरे आगे लाल ईंटों की
एक दीवार उठ गई है,
मैं धीरे-धीरे ईंट-पत्थर-सीमेंट के
ढेर में दबती चली जा रही हूँ,
अब लोग मुझे अपने अनुभव
सुनाने लगे हैं।
मेरे चारों ओर अचानक
काँटों का एक संसार उठ आया है
जिसको मैंने बड़ी देर बाद पहचाना।
सब कहते हैं—
यहाँ से निकलने का अब कोई
उपाय नहीं!
यही इस देश की प्रथा है
कि मैं भी उनके नियमों का पालन करूँ।
अब मैं किसी अपरिचित भाषा का
प्रयोग करने लगी हूँ।
निरंतर होने वाली बरसात से
मैं घिर गई हूँ—
पैरों में कीचड़ लपेटती,
जगह-जगह भरे हुए गड्ढों को लाँघती,
पहुँच ही जाती हूँ वहाँ
जहाँ न आदमी,
न रौनक़,
जिसके दरवाज़े पर लोहे के सींकचे हैं।
उन सींकचों के बाहर
देखने की मनाही है।
अपने इस संसार से
उस संसार में पहुँचते ही लगता है—
ये दिन अपने नहीं
किसी और के हो गए हैं।
aaj sham suraj bahut baDa aur lal tha
aisa nahin ki suraj mainne
kabhi dekha nahin
ya
pahli hi bar dekha
par aaj lal angare sa
jaisa uska roop tha,
pahle kabhi nahin dekha
Dubta suraj bhi itna lal hota hai?
hota hoga!
mere aage lal inton ki
ek diwar uth gai hai,
main dhire dhire int patthar siment ke
Dher mein dabti chali ja rahi hoon,
ab log mujhe apne anubhaw
sunane lage hain
mere charon or achanak
kanton ka ek sansar uth aaya hai
jisko mainne baDi der baad pahchana
sab kahte hain—
yahan se nikalne ka ab koi
upay nahin!
yahi is desh ki pratha hai
ki main bhi unke niymon ka palan karun
ab main kisi aprichit bhasha ka
prayog karne lagi hoon
nirantar hone wali barsat se
main ghir gai hoon—
pairon mein kichaD lapetti,
jagah jagah bhare hue gaDDhon ko langhati,
pahunch hi jati hoon wahan
jahan na adami,
na raunaq,
jiske darwaze par lohe ke sinkche hain
un sinkchon ke bahar
dekhne ki manahi hai
apne is sansar se
us sansar mein pahunchte hi lagta hai—
ye din apne nahin
kisi aur ke ho gaye hain
aaj sham suraj bahut baDa aur lal tha
aisa nahin ki suraj mainne
kabhi dekha nahin
ya
pahli hi bar dekha
par aaj lal angare sa
jaisa uska roop tha,
pahle kabhi nahin dekha
Dubta suraj bhi itna lal hota hai?
hota hoga!
mere aage lal inton ki
ek diwar uth gai hai,
main dhire dhire int patthar siment ke
Dher mein dabti chali ja rahi hoon,
ab log mujhe apne anubhaw
sunane lage hain
mere charon or achanak
kanton ka ek sansar uth aaya hai
jisko mainne baDi der baad pahchana
sab kahte hain—
yahan se nikalne ka ab koi
upay nahin!
yahi is desh ki pratha hai
ki main bhi unke niymon ka palan karun
ab main kisi aprichit bhasha ka
prayog karne lagi hoon
nirantar hone wali barsat se
main ghir gai hoon—
pairon mein kichaD lapetti,
jagah jagah bhare hue gaDDhon ko langhati,
pahunch hi jati hoon wahan
jahan na adami,
na raunaq,
jiske darwaze par lohe ke sinkche hain
un sinkchon ke bahar
dekhne ki manahi hai
apne is sansar se
us sansar mein pahunchte hi lagta hai—
ye din apne nahin
kisi aur ke ho gaye hain
स्रोत :
पुस्तक : पूरा ग़लत पाठ (पृष्ठ 7)
रचनाकार : स्नेहमयी चौधरी
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.