मैं केवल इसलिए पुस्तकों के पृष्ठ नहीं मोड़ता
क्योंकि तुम्हें लगता है
ऐसा करना से
पेड़ के मन पर आघात होता है
तुम्हारे भीतर करुणा की कौन-सी नदी बहती है
श्यामली,
जिसमें डूबकर मैं भी कोमलतम होता जा रहा हूँ
क्या जादू हो गया है जो
तुम्हारी सारी लाज मेरे पास आ गई है
मानता हूँ सीधे मुँह नहीं कह पाता
पर क्या नहीं जानती
तुम्हारे प्रिय उपन्यास की वे पंक्तियाँ
जो तुम्हें रह-रहकर याद आती हैं
उन्हें अकेले में पढ़कर
मुस्काता हूँ
जिसका दूसरा अर्थ ये भी हुआ
कि तुमसे बहुत अधिक प्यार करता हूँ
ओ लजीली, करुणा-सरिता श्यामली
तुम बताओ
क्या सचमुच नहीं जानती
तुम्हारी प्रिय पंक्तियों को याद कर
मेरे मुस्कुराने का अर्थ?
main kewal isliye pustkon ke prishth nahin moDta
kyonki tumhein lagta hai
aisa karna se
peD ke man par aghat hota hai
tumhare bhitar karuna ki kaun si nadi bahti hai
shyamali,
jismen Dubkar main bhi komaltam hota ja raha hoon
kya jadu ho gaya hai jo
tumhari sari laj mere pas aa gai hai
manata hoon sidhe munh nahin kah pata
par kya nahin janti
tumhare priy upanyas ki we panktiyan
jo tumhein rah rahkar yaad aati hain
unhen akele mein paDhkar
muskata hoon
jiska dusra arth ye bhi hua
ki tumse bahut adhik pyar karta hoon
o lajili, karuna sarita shyamali
tum batao
kya sachmuch nahin janti
tumhari priy panktiyon ko yaad kar
mere muskurane ka arth?
main kewal isliye pustkon ke prishth nahin moDta
kyonki tumhein lagta hai
aisa karna se
peD ke man par aghat hota hai
tumhare bhitar karuna ki kaun si nadi bahti hai
shyamali,
jismen Dubkar main bhi komaltam hota ja raha hoon
kya jadu ho gaya hai jo
tumhari sari laj mere pas aa gai hai
manata hoon sidhe munh nahin kah pata
par kya nahin janti
tumhare priy upanyas ki we panktiyan
jo tumhein rah rahkar yaad aati hain
unhen akele mein paDhkar
muskata hoon
jiska dusra arth ye bhi hua
ki tumse bahut adhik pyar karta hoon
o lajili, karuna sarita shyamali
tum batao
kya sachmuch nahin janti
tumhari priy panktiyon ko yaad kar
mere muskurane ka arth?
स्रोत :
रचनाकार : नीरव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.