वह संध्यातारा छिप जाता है
नैशांधकार में है उसकी रुचि,
विजन पथिक मर जाता सूखकर
भर आते नयनों में आँसू।
क्षणभंगुर है वह रूप-विभा
शारदीय शुक्ल मेघों-जैसी
तरुण स्वप्न स्मृति छाया
छिप जाती है क्षण में रचकर माया।
धूप काष्ठ जलकर फैलाता सुवास
भस्म होकर पाता अवकाश
हाट के उठ जाने पर सब हो जाता सूना
शून्यता देती है मन को शत-शत पीड़ा।
रंगभूमि की नर्त्तकी
असावधानी में छोड़कर स्मृति-चिह्न
दिखाई नहीं देती है कहीं पर
केवल तट पर तरंगे सिर पीटती है।
वह है क्षण-भर की मादकता
कहने नहीं देती है मन की बात
हँस-हँसकर दूर सरकती जाती है
आलोक के पीछे विभावरी।
ज़रा धरा दिखती नवीन
नव वसंत के आने पर
श्मशान से जी उठता है जीव
अँधेरे में हँसता है बालारुण।
कौस्तुभ से बढ़कर तारक तेज़
चिंतन करता है दिन-रात कवि
सुदूर कानन-संगीत
करता इंगित व्यथा-काव्य में उसकी।
क्षणिक रश्मि का अनुभव
धन्य है जीवन अभिनव
धूप-छाँह का खेल खेलकर
नाविक देता अपनी नौका खोल।
wo sandhyatara chhip jata hai
naishandhkar mein hai uski ruchi,
vijan pathik mar jata sukhkar
bhar aate naynon mein ansri.
kshanabhangur hai wo roop vibha
sharadiy shukl meghon jaisi
tarun svapn smriti chhaya
chhip jati hai kshan mein rachkar maya.
dhoop kaashth jalkar phailata suvas
bhasm hokar pata avkash
haat ke uth jane par sab ho jata suna
shunyata deti hai man ko shat shat piDa.
rangbhumi ki narttki
asavadhani mein chhoDkar smriti chihn
dikhai nahin deti hai kahin par
keval tat par tarange sir pitti hai.
wo hai kshan bhar ki madakta
kahne nahin deti hai man ki baat
hans hansakar door sarakti jati hai.
aalok ke pichhe vibhavari.
jara dhara dikhti navin
nav vasant ke aane par
shmshaan se di uthta hai jeev
andhere mein hansta hai balarun.
kaustubh se baDhkar tarak tez
chintan karta hai din raat kavi
sudur kanan sangit
karta ingit vyatha kaavy mein uski.
kshanaik rashmi ka anubhav
dhany hai jivan abhinav
dhoop chhaanh ka khel khelkar
navik deta apni nauka khol.
wo sandhyatara chhip jata hai
naishandhkar mein hai uski ruchi,
vijan pathik mar jata sukhkar
bhar aate naynon mein ansri.
kshanabhangur hai wo roop vibha
sharadiy shukl meghon jaisi
tarun svapn smriti chhaya
chhip jati hai kshan mein rachkar maya.
dhoop kaashth jalkar phailata suvas
bhasm hokar pata avkash
haat ke uth jane par sab ho jata suna
shunyata deti hai man ko shat shat piDa.
rangbhumi ki narttki
asavadhani mein chhoDkar smriti chihn
dikhai nahin deti hai kahin par
keval tat par tarange sir pitti hai.
wo hai kshan bhar ki madakta
kahne nahin deti hai man ki baat
hans hansakar door sarakti jati hai.
aalok ke pichhe vibhavari.
jara dhara dikhti navin
nav vasant ke aane par
shmshaan se di uthta hai jeev
andhere mein hansta hai balarun.
kaustubh se baDhkar tarak tez
chintan karta hai din raat kavi
sudur kanan sangit
karta ingit vyatha kaavy mein uski.
kshanaik rashmi ka anubhav
dhany hai jivan abhinav
dhoop chhaanh ka khel khelkar
navik deta apni nauka khol.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 86 )
रचनाकार : बैकुंठनाथ पट्टनायक
प्रकाशन : साहित्य अकादमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.