कितनी-कितनी लहरें
गलबाँहीं कर टकराईं
कितने भँवर घूम गए
कितने विवर्त बने
इन सबकी समष्टि में
कभी शायद बन सका
बुलबुला एक।
बुलबुले का जीवन ही कितना
लहर से लहर
आवर्त से आवर्त
विवर्त से विवर्त।
इन सबके मिलने से
वह बन सकता है,
नहीं भी बन सकता है
बन भी जाए तो एक क्षण ठहरता है बस
इन सबके बीच
फिर फूट कर विलीन हो जाता है।
कदाचित् कभी ऐसा भी हो जाता है
कि एक क्षण के लिए टिक गए बुलबुले को
पलक की झपक के बराबर समय के लिए
सूरज अपनी किरणों से छू भर देता है
तब आधे क्षण के लिए बुलबुले के भीतर रच जाता है
सतरंगी आभा वाला इंद्रधनुष।
काल का अजस्र यह जो महानद है बह रहा
इसमें पता नहीं किन संयोगों से
बना और एक क्षण टिका
बुलबुला हूँ मैं
मुझे जन्म देने के लिए
कितने बादल बरसे
कितनी धाराएँ बहीं
बुलबुले की औक़ात क्या?
एक क्षण का उसका जीवन
पर एक क्षण मेरे टिके रहने पर
देवता ऊपर मुस्काते हैं प्रसन्न होकर
उनकी मुस्कान की सतरंगी आभाओं में
स्पंदित होता है मेरे भीतर
एक क्षण का और जीवन
कई कल्पों की आयु से बड़ा एक क्षण।
kitni kitni lahren
galbanhin kar takrain
kitne bhanwar ghoom gaye
kitne wiwart bane
in sabki samshti mein
kabhi shayad ban saka
bulbula ek
bulbule ka jiwan hi kitna
lahr se lahr
awart se awart
wiwart se wiwart
in sabke milne se
wo ban sakta hai,
nahin bhi ban sakta hai
ban bhi jaye to ek kshan thaharta hai bus
in sabke beech
phir phoot kar wilin ho jata hai
kadachit kabhi aisa bhi ho jata hai
ki ek kshan ke liye tik gaye bulbule ko
palak ki jhapak ke barabar samay ke liye
suraj apni kirnon se chhu bhar deta hai
tab aadhe kshan ke liye bulbule ke bhitar rach jata hai
satrangi aabha wala indradhnush
kal ka ajasr ye jo mahanad hai bah raha
ismen pata nahin kin sanyogon se
bana aur ek kshan tika
bulbula hoon main
mujhe janm dene ke liye
kitne badal barse
kitni dharayen bahin
bulbule ki auqat kya?
ek kshan ka uska jiwan
par ek kshan mere tike rahne par
dewta upar muskate hain prasann hokar
unki muskan ki satrangi abhaon mein
spandit hota hai mere bhitar
ek kshan ka aur jiwan
kai kalpon ki aayu se baDa ek kshan
kitni kitni lahren
galbanhin kar takrain
kitne bhanwar ghoom gaye
kitne wiwart bane
in sabki samshti mein
kabhi shayad ban saka
bulbula ek
bulbule ka jiwan hi kitna
lahr se lahr
awart se awart
wiwart se wiwart
in sabke milne se
wo ban sakta hai,
nahin bhi ban sakta hai
ban bhi jaye to ek kshan thaharta hai bus
in sabke beech
phir phoot kar wilin ho jata hai
kadachit kabhi aisa bhi ho jata hai
ki ek kshan ke liye tik gaye bulbule ko
palak ki jhapak ke barabar samay ke liye
suraj apni kirnon se chhu bhar deta hai
tab aadhe kshan ke liye bulbule ke bhitar rach jata hai
satrangi aabha wala indradhnush
kal ka ajasr ye jo mahanad hai bah raha
ismen pata nahin kin sanyogon se
bana aur ek kshan tika
bulbula hoon main
mujhe janm dene ke liye
kitne badal barse
kitni dharayen bahin
bulbule ki auqat kya?
ek kshan ka uska jiwan
par ek kshan mere tike rahne par
dewta upar muskate hain prasann hokar
unki muskan ki satrangi abhaon mein
spandit hota hai mere bhitar
ek kshan ka aur jiwan
kai kalpon ki aayu se baDa ek kshan
स्रोत :
रचनाकार : राधावल्लभ त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.