दूर से संबंध-विच्छेद की घोषणा करने वाली प्रेमिका से मैंने कहा
कौन-सा चुंबन आख़िरी होने वाला है उसे यह बताना चाहिए था
दुखी जान पड़ रही लड़की से मैंने कहा
उसे भैंसों की तरह लापरवाह होना चाहिए
सोशल मीडिया से आग लगाने का हुनर सिखने वाले लड़के से कहा
आगे बुझाने के तरीक़े के लिए उसे क़िताबें देखनी चाहिए
मेरी देह का अंत्यपरीक्षण कर रहे चिकित्सक से कहा
मृत्यु का रंग कितना बदरंग है
पोस्टमार्टम घर की दीवारों को रंगीन होना चाहिए
गले में काँटा फँसने पर लोगों ने मछलियों से शिकायत की
उन्हें बिना रीढ़-हड्डियों का होना चाहिए
देश के नेता को लगता है
वह चिड़िया को दसवें माले से फेंक देगा वह मर जाएगी
मछली को समंदर में डूबो देगा वह डूब जाएगी
मेरे पास नेता को सलाह देने के लिए कुछ नहीं है
पेशेवर हत्यारों को सलाह देने से बचना चाहिए।
door se sambandh vichchhed ki ghoshanaa karne vali premika se mainne kaha
kaun sa chumban akhiri hone vala hai use ye batana chahiye tha
dukhi jaan paD rahi laDki se mainne kaha
use bhainson ki tarah laparvah hona chahiye
social media se aag lagane ka hunar sikhne vale laDke se kaha
aage bujhane ke tariqe ke liye use qitaben dekhni chahiye
meri deh ka antyaprikshan kar rahe chikitsak se kaha
mirtyu ka rang kitna badrang hai
postmortem ghar ki divaron ko rangin hona chahiye
gale mein kanta phansne par logon ne machhliyon se shikayat ki
unhen bina reeDh haDDiyon ka hona chahiye
desh ke neta ko lagta hai
wo chiDiya ko dasven male se phenk dega wo mar jayegi
machhli ko samandar mein Dubo dega wo Doob jayegi
mere paas neta ko salah dene ke liye kuch nahin hai
peshevar hatyaron ko salah dene se bachna chahiye.

स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश प्रियदर्शी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.