मेरी द्रौपती,
मुझे डर लग रहा है
मेरी स्मृतियों से तुम मिटती जा रही हो
तुम्हारा साँवला चेहरा और
दसवीं की बोर्ड परीक्षा से निकलते ही
तुम्हारी बड़ी-बड़ी पीली आँखें
मुझे आज भी याद आती हैं
तुम्हारे काले पड़ चुके होंठ
जिनसे तुमने कहा था—‘ठीक हूँ’
तुम्हारे काँटों से धँसे हाथ
जो खेत में काँटे बीनने की
कथा कह रहे थे…
मुझे डराते हैं
यही डर तुम्हारी स्मृतियों को
दिमाग़ के किसी अँधेरे कोने में घसीट रहा है
गर्मियों की छुट्टियों में तुम
हमें छोड़कर चली गईं
तुम्हारा नाम किसने कटाया स्कूल से?
माँ तुम्हारी कैसी दिखती होगी?
तुम्हारे बाद
तुम्हारे पोपले गाल
अब तुम्हारी माँ ने धारण कर लिए हैं?
तुमने ही बताया था न कि
तुम मोहला के जंगलों से
इस छोटे-से क़स्बे में
सिर्फ़ बारहवीं तक पढ़ने आई हो
साथ में नाना-नानी का ध्यान रखने
तुम्हारी सिकुड़ी देह
और घुँघराले बाल सावन लगते ही
ददरिया गाने लगते थे
मेरी द्रौपती,
मुझे तुम्हारे बारे में थोड़ा और जानना था
लेकिन गर्मियों की पीली धूप में पीला बुख़ार
तुम्हें लू के साथ उड़ा ले गया।
meri draupti,
mujhe Dar lag raha hai
meri smritiyon se tum mitti ja rahi ho
tumhara sanvla chehra aur
dasvin ki borD pariksha se nikalte hi
tumhari baDi baDi pili ankhen
mujhe aaj bhi yaad aati hain
tumhare kale paD chuke honth
jinse tumne kaha tha—‘thik hoon’
tumhare kanton se dhanse haath
jo khet mein kante binne ki
katha kah rahe the…
mujhe Darate hain
yahi Dar tumhari smritiyon ko
dimagh ke kisi andhere kone mein ghasit raha hai
garmiyon ki chhuttiyon mein tum
hamein chhoDkar chali gain
tumhara naam kisne kataya skool se?
maan tumhari kaisi dikhti hogi?
tumhare baad
tumhare pople gaal
ab tumhari maan ne dharan kar liye hain?
tumne hi bataya tha na ki
tum mohla ke janglon se
is chhote se qasbe men
sirf barahvin tak paDhne aai ho
saath mein nana nani ka dhyaan rakhne
tumhari sikuDi deh
aur ghunghrale baal savan lagte hi
dadariya gane lagte the
meri draupti,
mujhe tumhare bare mein thoDa aur janna tha
lekin garmiyon ki pili dhoop mein pila bukhar
tumhein lu ke saath uDa le gaya.
meri draupti,
mujhe Dar lag raha hai
meri smritiyon se tum mitti ja rahi ho
tumhara sanvla chehra aur
dasvin ki borD pariksha se nikalte hi
tumhari baDi baDi pili ankhen
mujhe aaj bhi yaad aati hain
tumhare kale paD chuke honth
jinse tumne kaha tha—‘thik hoon’
tumhare kanton se dhanse haath
jo khet mein kante binne ki
katha kah rahe the…
mujhe Darate hain
yahi Dar tumhari smritiyon ko
dimagh ke kisi andhere kone mein ghasit raha hai
garmiyon ki chhuttiyon mein tum
hamein chhoDkar chali gain
tumhara naam kisne kataya skool se?
maan tumhari kaisi dikhti hogi?
tumhare baad
tumhare pople gaal
ab tumhari maan ne dharan kar liye hain?
tumne hi bataya tha na ki
tum mohla ke janglon se
is chhote se qasbe men
sirf barahvin tak paDhne aai ho
saath mein nana nani ka dhyaan rakhne
tumhari sikuDi deh
aur ghunghrale baal savan lagte hi
dadariya gane lagte the
meri draupti,
mujhe tumhare bare mein thoDa aur janna tha
lekin garmiyon ki pili dhoop mein pila bukhar
tumhein lu ke saath uDa le gaya.
स्रोत :
रचनाकार : प्राची
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.