कहीं न पहुँचने की निरर्थकता में
हम हमेशा स्वयं को चलते हुए पाते हैं
जानते हुए कि चलना एक भ्रम है
और कहीं न पहुँचना यथार्थ
दिशाओं के ज्ञान से अनभिज्ञ
कर रहें हैं पीछा,सूरज उगने वाली दिशा का
प्रकाश से हमारा संबंध भले ही सदियों पुराना हो
पर अपनी ही परछाई से हार जाना नियति
हम हाँक दी गई बकरियों की तरह झुँड में
चर रहे समय पर गिरी पत्तियों को
यह जानते हुए कि हवा उड़ा ले जाएगी
किसी रोज़ अनिश्चित दिशा में, जहाँ
हम ख़ुद को पाएँगे निरीह अकेला
जिनके हिस्से नहीं आती कोई निश्चित जगहें
वे यूँ ही भटकती रहती हैं तमाम उम्र
और एक रोज़ अंतिम आँसू की तरह गिरकर
मिट्टी हो जाती हैं
हम ढूँढते रहते हैं आदिम रास्ते
और चाही गई मंज़िलों के पते,
बारिश में भीगने की चाह और
जंगल के उस पार ख़ुद में डूबी एक नदी
टेढ़े-मेढ़े रास्तों को पार करने की इच्छा
किसी बच्चे के ज़िद जैसी
जो रोता है लगातार चाही गई वस्तु के लिए
हमें जीवन की तलाश में भटकने दिया जाए
निश्चित है कि कोई न कोई द्वीप
एक दिन हमसे ज़रूर टकराएगा
और तुम्हारा आसमान भरभरा के ढह जाएगा
हमारे खुले बालों पर
हम सफ़ेद फूल टाँक आसमान को सहेज लेंगी
जैसे सहेजती हैं जूड़ों में अपने बिखरे बाल!
kahin na pahunchne ki nirarthakta mein
hum hamesha svayan ko chalte hue pate hain
jante hue ki chalna ek bhram hai
aur kahin na pahunchna yatharth,
dishaon ke gyaan se anbhigya
kar rahen hain pichha,suraj ugne vali disha ka
parkash se hamara sambandh bhale hi sadiyon purana ho
par apni hi parchhai se haar jana niyti,
hum haank di gai bakariyon ki tarah jhunD mein
char rahe samay par giri pattiyon ko
ye jante hue ki hava uDa le jayegi
kisi roz anishchit disha mein,jahan
hum khud ko payenge nirih akela
jinke hisse nahin aati koi nishchit jaghen
ve yoon hi bhatakti rahti hain tamam umr
aur ek roz antim ansu ki tarah girkar
mitti ho jati hain
hum DhunDhte rahte hain aadim raste
aur chahi gai manzilon ke pate,
barish mein bhigne ki chaah aur
jangal ke us paar khud mein Dubi ek nadi,
teDhe meDhe raston ko paar karne ki ichchha
kisi bachche ke zid jaisi
jo rota hai lagatar chahi gai vastu ke liye
hamein jivan ki talash mein bhatakne diya jaye
nishchit hai ki koi na koi dveep
ek din hamse zarur takrayega
aur tumhara asman bharabhra ke Dhah jayega
hamare khule balon par
hum safed phool taank asman ko sahej lengi
jaise sahejti hain juDon mein apne bikhre baal!

स्रोत :
पुस्तक : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
रचनाकार : सीमा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.