प्रेम जताने से अधिक
प्रेम निभाना ज़रूरी होता है
इतनी साधारण बात है
पर वे कभी तुम्हारी मूँछों पर तो कभी चाल पर
तो कभी तुम्हारे रुआब पर मर मिटीं
तुमसे प्रेम करने के बाद
दुआओं में
तुम्हारे अलावा फिर कुछ न माँगा
तुम सूरज के सातवें घोड़े पर सवार होकर आए
और उनका मन रौंदते हुए सरपट चलते बने
उन्होनें तुम्हारे मन के भरोसे ही तो
देह की नदी में सपने उतारे थे
सपनों को तुम्हारा हाथ पकड़कर पार होना था
पर देखो शाप भी तो उसी नदी के मत्थे लगना था
जिस नदी में न जाने कितने मन
सदियों से डूबते आए
अब एक और मन सही
जिन उम्रों में उन्हें किताबों के प्रेम में डूबना था
उन उम्रों में वे
तुम्हारे प्रेम की आग में देह जला बैठीं
उनका बिखरा मन अतीत के आहिस्ता रास्तों पर चलते हुए
लोक कथाओं के नायकों को तलाशता रहा
रूप कथाओं के चमकते नायक
असल नायकों को पीछे धकेलते रहे
अवचेतन मन के आकाश में
छिपे किसी तारे की तरह
वे भागती रहीं स्वप्नलोक के नायकों के पीछे
तुम तो स्वनियोजित आखेट पर निकले थे
और वे शिकार होने
तुम्हारे वादों और मीठी बातों के जाल में
तुम उन्हें ध्वस्त करने निकले थे
कि तुम्हारी ही सत्ता थी
पर तुम भूल गए कि
तुम उनकी पुरखिनों की कोख से ही
निकले सूरमा हो
तुम्हें बनाने का शऊर पीढ़ियों से अभ्यास में है
तो वे चेहरा बिगाड़ने का साहस भी जल्द सीख जाएँगी
धीरे-धीरे नदी के माथे लगे शाप की अवधि
अब समाप्ति की ओर है!
prem jatane se adhik
prem nibhana zaruri hota hai
itni sadharan baat hai
par ve
kabhi tumhari munchhon par to kabhi chaal par
to kabhi tumhare ruab par mar mitin
tumse prem karne ke baad
duaon men
tumhare alava phir kuch na manga
tum suraj ke satven ghoDe par savar hokar aaye
aur unka man raundte hue sarpat chalte bane
unhonen tumhare man ke bharose hi to
deh ki nadi mein sapne utare the
sapnon ko tumhara haath pakaDkar paar hona tha
par dekho shraap bhi to usi nadi ke matthe
lagna tha
jis nadi mein na jane kitne man sadiyon se Dubte aaye
ab ek aur man sahi
jin umron mein unhen kitabon ke prem mein Dubna tha
un umron mein ve
tumhare prem ki aag mein deh jala baithin
unka bikhra man atit ke ahista raston par chalte hue lok kathaon ke naykon ko talashta raha
roop kathaon ke chamakte nayak
asal naykon ko pichhe dhakelte rahe
avchetan man ke akash men
chhipe kisi tare ki tarah
ve bhagti rahin svapnalok ke naykon ke pichhe
tum to svaniyojit akhet par nikle the
aur ve shikar hone
tumhare vadon aur mithi baton ke jaal men
tum unhen dhvast karne nikle the
ki tumhari hi satta thi
par tum bhool gaye ki
tum unki purakhinon ki kokh se hi
nikle surma ho
tumhein banane ka shaur piDhiyon se abhyas mein hai
to ve chehra bigaDne ka sahas bhi jald seekh jayengi
dhire dhire nadi ke mathe lage shraap ki avadhi
ab samapti ki or hai!

स्रोत :
रचनाकार : शालिनी सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.