सिर्फ़ भूखे लोगों की ही
अधिकता नहीं है यहाँ,
कूड़ेदान में या सड़क पर
रोटियाँ फेंकने वाले भी
बहुत से लोग हैं इस देश में।
वो इसलिए नहीं
कि खाने की अधिकता है
बल्कि इसलिए कि
इनकी ज़ुबान का टेस्ट
बदलता रहता है रोज़-रोज़।
मुँह के ज़ायक़े ने
पेट के बजाय कूड़ेदान में
ला पटका है रोटी के टुकड़ों को
और घर की मालकिनें तो
ये कहती हैं फेंकते हुए
कि भिखारियों और कुत्तों को
खाना मत दिया करो
जो बच जाता है कभी-कभार...
आदत पड़ जाएगी
तो मुँह उठाए रोज़ ही
आ खड़े होंगे दरवाज़े पर।
ठीक वैसे ही जैसे
वो पहुँच जाती हैं मुँह उठाए
मैकडोनॉल्ड, हॉट स्टाफ़,
स्नैक्स या
फ़ास्टफ़ूड रेस्तराओं में।
sirf bhukhe logon ki hi
adhikta nahin hai yahan,
kuDedan mein ya saDak par
rotiyan phenkne wale bhi
bahut se log hain is desh mein
wo isliye nahin
ki khane ki adhikta hai
balki isliye ki
inki zuban ka test
badalta rahta hai roz roz
munh ke zayqe ne
pet ke bajay kuDedan mein
la patka hai roti ke tukDon ko
aur ghar ki malakinen to
ye kahti hain phenkte hue
ki bhikhariyon aur kutton ko
khana mat diya karo
jo bach jata hai kabhi kabhar
adat paD jayegi
to munh uthaye roz hi
a khaDe honge darwaze par
theek waise hi jaise
wo pahunch jati hain munh uthaye
maikDonaulD, hot staff,
snaiks ya
fastfuD restraon mein
sirf bhukhe logon ki hi
adhikta nahin hai yahan,
kuDedan mein ya saDak par
rotiyan phenkne wale bhi
bahut se log hain is desh mein
wo isliye nahin
ki khane ki adhikta hai
balki isliye ki
inki zuban ka test
badalta rahta hai roz roz
munh ke zayqe ne
pet ke bajay kuDedan mein
la patka hai roti ke tukDon ko
aur ghar ki malakinen to
ye kahti hain phenkte hue
ki bhikhariyon aur kutton ko
khana mat diya karo
jo bach jata hai kabhi kabhar
adat paD jayegi
to munh uthaye roz hi
a khaDe honge darwaze par
theek waise hi jaise
wo pahunch jati hain munh uthaye
maikDonaulD, hot staff,
snaiks ya
fastfuD restraon mein
स्रोत :
रचनाकार : वसीम अकरम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.