निशिकर ने आ शरद-निशा में,
बरसाया मधु दशों दिशा में,
विचरण करके नभोदेश में, गमन किया निज धाम।
पर चकोर ने कहा भ्रांत हो,
प्रिय-वियोग दुख से अशांत हो,
गया, छोड़ करके जीवनधन, मुझे कहाँ? हा राम!!
हुआ प्रथम जब उसका दर्शन,
गया हाथ से निकल तभी मन,
सोचा मैंने—यह शोभा की सीमा है प्रख्यात।
वह चित-चोर कहाँ बसता था,
किसको देख-देख हँसता था;
पूछ सका मैं उसे मोहवश नहीं एक भी बात॥
मैंने उसको हृदय दिया था,
रुचिर रूप-रस पान किया था,
था न स्वप्न में मुझको उसकी निष्ठुरता का ध्यान।
मन तो मेरा और कहीं था,
मुझको इसका ज्ञान नहीं था;
छिपा हुआ शीतल किरणों में है मरुभूमि महान॥
अच्छा किया मुझे जो छोड़ा,
मुझसे उसने नाता तोड़ा;
दे सकता अपने प्रियतम को कभी नहीं मैं शाप।
इतना किंतु अवश्य कहूँगा,
जब तक उसको फिर न लहूँगा,
तब तक हृदय हीन जीवन में है केवल संताप॥
nishikar ne aa sharad nisha mein,
barsaya madhu dashon disha mein,
wicharn karke nabhodesh mein, gaman kiya nij dham
par chakor ne kaha bhrant ho,
priy wiyog dukh se ashant ho,
gaya, chhoD karke jiwandhan, mujhe kahan? ha ram!!
hua pratham jab uska darshan,
gaya hath se nikal tabhi man,
socha mainne—yah shobha ki sima hai prakhyat
wo chit chor kahan basta tha,
kisko dekh dekh hansta tha;
poochh saka main use mohawash nahin ek bhi baat॥
mainne usko hirdai diya tha,
ruchir roop ras pan kiya tha,
tha na swapn mein mujhko uski nishthurta ka dhyan
man to mera aur kahin tha,
mujhko iska gyan nahin tha;
chhipa hua shital kirnon mein hai marubhumi mahan॥
achchha kiya mujhe jo chhoDa,
mujhse usne nata toDa;
de sakta apne priytam ko kabhi nahin main shap
itna kintu awashy kahunga,
jab tak usko phir na lahunga,
tab tak hirdai heen jiwan mein hai kewal santap॥
nishikar ne aa sharad nisha mein,
barsaya madhu dashon disha mein,
wicharn karke nabhodesh mein, gaman kiya nij dham
par chakor ne kaha bhrant ho,
priy wiyog dukh se ashant ho,
gaya, chhoD karke jiwandhan, mujhe kahan? ha ram!!
hua pratham jab uska darshan,
gaya hath se nikal tabhi man,
socha mainne—yah shobha ki sima hai prakhyat
wo chit chor kahan basta tha,
kisko dekh dekh hansta tha;
poochh saka main use mohawash nahin ek bhi baat॥
mainne usko hirdai diya tha,
ruchir roop ras pan kiya tha,
tha na swapn mein mujhko uski nishthurta ka dhyan
man to mera aur kahin tha,
mujhko iska gyan nahin tha;
chhipa hua shital kirnon mein hai marubhumi mahan॥
achchha kiya mujhe jo chhoDa,
mujhse usne nata toDa;
de sakta apne priytam ko kabhi nahin main shap
itna kintu awashy kahunga,
jab tak usko phir na lahunga,
tab tak hirdai heen jiwan mein hai kewal santap॥
स्रोत :
पुस्तक : कविता सदी (पृष्ठ 77)
संपादक : सुरेश सलिल
रचनाकार : मुकुटधर पांडेय
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.