तुम्हारे  साथ  रहकर  
अक्सर  मुझे  ऐसा  महसूस  हुआ  है  
कि  दिशाएँ  पास  आ  गई  हैं,  
हर  रास्ता  छोटा  हो  गया  है,  
दुनिया  सिमटकर  
एक  आँगन-सी  बन  गई  है  
जो  खचाखच  भरा  है,  
कहीं  भी  एकांत  नहीं  
न  बाहर,  न  भीतर।  
हर  चीज़  का  आकार  घट  गया  है,  
पेड़  इतने  छोटे  हो  गए  हैं  
कि  मैं  उनके  शीश  पर  हाथ  रख  
आशीष  दे  सकता  हूँ,  
आकाश  छाती  से  टकराता  है,  
मैं  जब  चाहूँ  बादलों  में  मुँह  छिपा  सकता  हूँ।  
तुम्हारे  साथ  रहकर  
अक्सर  मुझे  महसूस  हुआ  है  
कि  हर  बात  का  एक  मतलब  होता  है,  
यहाँ  तक  कि  घास  के  हिलने  का  भी,  
हवा  का  खिड़की  से  आने  का,  
और  धूप  का  दीवार  पर  
चढ़कर  चले  जाने  का।  
तुम्हारे  साथ  रहकर  
अक्सर  मुझे  लगा  है  
कि  हम  असमर्थताओं  से  नहीं  
संभावनाओं  से  घिरे  हैं,  
हर  दीवार  में  द्वार  बन  सकता  है  
और  हर  द्वार  से  पूरा  का  पूरा  
पहाड़  गुज़र  सकता  है।  
शक्ति  अगर  सीमित  है  
तो  हर  चीज़  अशक्त  भी  है,  
भुजाएँ  अगर  छोटी  हैं,  
तो  सागर  भी  सिमटा  हुआ  है,  
सामर्थ्य  केवल  इच्छा  का  दूसरा  नाम  है,  
जीवन  और  मृत्यु  के  बीच  जो  भूमि  है  
वह  नियति  की  नहीं  मेरी  है।  
                tumhare  sath  rahkar  
aksar  mujhe  aisa  mahsus  hua  hai  
ki  dishayen  pas  aa  gai  hain,  
har  rasta  chhota  ho  gaya  hai,  
duniya  simatkar  
ek  angan  si  ban  gai  hai  
jo  khachakhach  bhara  hai,  
kahin  bhi  ekant  nahin  
na  bahar,  na  bhitar  
har  cheez  ka  akar  ghat  gaya  hai,  
peD  itne  chhote  ho  gaye  hain  
ki  main  unke  sheesh  par  hath  rakh  
ashish  de  sakta  hoon,  
akash  chhati  se  takrata  hai,  
main  jab  chahun  badlon  mein  munh  chhipa  sakta  hoon  
tumhare  sath  rahkar  
aksar  mujhe  mahsus  hua  hai  
ki  har  baat  ka  ek  matlab  hota  hai,  
yahan  tak  ki  ghas  ke  hilne  ka  bhi,  
hawa  ka  khiDki  se  aane  ka,  
aur  dhoop  ka  diwar  par  
chaDhkar  chale  jane  ka  
tumhare  sath  rahkar  
aksar  mujhe  laga  hai  
ki  hum  asmarthtaon  se  nahin  
sambhawnaon  se  ghire  hain,  
har  diwar  mein  dwar  ban  sakta  hai  
aur  har  dwar  se  pura  ka  pura  
pahaD  guzar  sakta  hai  
shakti  agar  simit  hai  
to  har  cheez  ashakt  bhi  hai,  
bhujayen  agar  chhoti  hain,  
to  sagar  bhi  simta  hua  hai,  
samarthy  kewal  ichha  ka  dusra  nam  hai,  
jiwan  aur  mirtyu  ke  beech  jo  bhumi  hai  
wo  niyti  ki  nahin  meri  hai  
tumhare  sath  rahkar  
aksar  mujhe  aisa  mahsus  hua  hai  
ki  dishayen  pas  aa  gai  hain,  
har  rasta  chhota  ho  gaya  hai,  
duniya  simatkar  
ek  angan  si  ban  gai  hai  
jo  khachakhach  bhara  hai,  
kahin  bhi  ekant  nahin  
na  bahar,  na  bhitar  
har  cheez  ka  akar  ghat  gaya  hai,  
peD  itne  chhote  ho  gaye  hain  
ki  main  unke  sheesh  par  hath  rakh  
ashish  de  sakta  hoon,  
akash  chhati  se  takrata  hai,  
main  jab  chahun  badlon  mein  munh  chhipa  sakta  hoon  
tumhare  sath  rahkar  
aksar  mujhe  mahsus  hua  hai  
ki  har  baat  ka  ek  matlab  hota  hai,  
yahan  tak  ki  ghas  ke  hilne  ka  bhi,  
hawa  ka  khiDki  se  aane  ka,  
aur  dhoop  ka  diwar  par  
chaDhkar  chale  jane  ka  
tumhare  sath  rahkar  
aksar  mujhe  laga  hai  
ki  hum  asmarthtaon  se  nahin  
sambhawnaon  se  ghire  hain,  
har  diwar  mein  dwar  ban  sakta  hai  
aur  har  dwar  se  pura  ka  pura  
pahaD  guzar  sakta  hai  
shakti  agar  simit  hai  
to  har  cheez  ashakt  bhi  hai,  
bhujayen  agar  chhoti  hain,  
to  sagar  bhi  simta  hua  hai,  
samarthy  kewal  ichha  ka  dusra  nam  hai,  
jiwan  aur  mirtyu  ke  beech  jo  bhumi  hai  
wo  niyti  ki  nahin  meri  hai  
 
        
        
            
            
            
                Videos This video is playing from YouTube  
                
                
             
            
                    
                        मानव कौल 
                          
                     
             
         
        
        
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 16)रचनाकार  : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना 
                             प्रकाशन  : राजकमल प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1989 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.