रावण कितने...कितने रावण
क़दम-क़दम पर...चौक-चौराहों पर
बाज़ारों में...मैदानों में खेल के
खेत-खलिहानों में
सड़कों पर...संसद में
विधान सभाओं में
मठों-मंदिरों...मस्ज़िदों में
गिरिजाघरों में
एक-एक वन को उजाड़ने में लगे
रावण कितने...कितने रावण
सब जगह दिख जाते
बसों...ट्रेनों... हवाई और
पानी के जहाज़ों पर सवार
करते सफ़र देश-दुनिया में
त्रिलोक में लिए चेहरे पर
अजब-ग़ज़ब मुस्कान
घर-घर में...हर मन में
रावण बसे
रावण कितने...कितने रावण
राम अपने-अपने
अपने-अपने राम
अलग-अलग द्वीपों में
भटकते-छिछियाते राम
निर्वासित और विस्थापित राम
घर-घर से
वन-वन से
हर मन से
बाहर होते राम
कैसी चली आँधियाँ
कि उठे बवंडर
कि लगी आग
हाय-हाय रावण कि
हे राम!
ravan kitne. . . kitne ravan
qadam qadam par. . . chauk chaurahon par
bazaron mein. . . maidanon mein khel ke
khet khalihanon men
saDkon par. . . sansad men
vidhan sabhaon men
mathon mandiron. . . maszidon men
girijaghron men
ek ek van ko ujaDne mein lage
ravan kitne. . . kitne ravan
sab jagah dikh jate
bason. . . trenon. . . havai aur
pani ke jahazon par savar
karte safar desh duniya mein
trilok mein liye chehre par
ajab ghazab muskan
ghar ghar mein. . . har man mein
ravan base
ravan kitne. . . kitne ravan
raam apne apne
apne apne raam
alag alag dvipon men
bhatakte chhichhiyate raam
nirvasit aur visthapit raam
ghar ghar se
van van se
har man se
bahar hote raam
kaisi chali andhiyan
ki uthe bavanDar
ki lagi aag
haay haay ravan ki
he raam!
ravan kitne. . . kitne ravan
qadam qadam par. . . chauk chaurahon par
bazaron mein. . . maidanon mein khel ke
khet khalihanon men
saDkon par. . . sansad men
vidhan sabhaon men
mathon mandiron. . . maszidon men
girijaghron men
ek ek van ko ujaDne mein lage
ravan kitne. . . kitne ravan
sab jagah dikh jate
bason. . . trenon. . . havai aur
pani ke jahazon par savar
karte safar desh duniya mein
trilok mein liye chehre par
ajab ghazab muskan
ghar ghar mein. . . har man mein
ravan base
ravan kitne. . . kitne ravan
raam apne apne
apne apne raam
alag alag dvipon men
bhatakte chhichhiyate raam
nirvasit aur visthapit raam
ghar ghar se
van van se
har man se
bahar hote raam
kaisi chali andhiyan
ki uthe bavanDar
ki lagi aag
haay haay ravan ki
he raam!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.