देश की छाती पर
कील की तरह गड़ा है,
चापलूसों के मध्य
अकेला खड़ा है,
राजा का हाथ
उसकी दृष्टि से बड़ा है...
उसे अपने आगे
कुछ दिखाई नहीं देता
अपने सिवा, कुछ सुनाई नहीं देता
वह उनको भी नहीं जानता
जिनकी पीठ पर वह खड़ा है...
राजा के सामने
सब गौण हैं,
फिर भी न जाने क्यों
साधे सब मौन हैं...
रात राजा ने
सपने में देखा
भूख के मारे
कोई चीखा
उसने मंत्री से पूछा
बताओ तो ये कौन है?
मंत्री ने बताया
ऐसा आदमी
नहीं पाया जाता है
इस देश में
मालूम पड़ता है
पड़ोसी मुल्क का जासूस है
जो आ गया है
इस भेष में...
ऐसे आदमी को शीघ्र
फाँसी पर लटकाया जाए
और हम हैं कितने ताक़तवर
दुनिया को बतलाया जाए...
desh ki chhati par
keel ki tarah gaDa hai,
chapluson ke madhya
akela khaDa hai,
raja ka haath
uski drishti se baDa hai. . .
use apne aage
kuch dikhai nahin deta
apne siva, kuch sunai nahin deta
wo unko bhi nahin janta
jinki peeth par wo khaDa hai. . .
raja ke samne
sab gaun hain,
phir bhi na jane kyon
sadhe sab maun hain. . .
raat raja ne
sapne mein dekha
bhookh ke mare
koi chikha
usne mantri se puchha
batao to ye kaun hai?
mantri ne bataya
aisa adami
nahin paya jata hai
is desh mein
malum paDta hai
paDosi mulk ka jasus hai
jo aa gaya hai
is bhesh mein. . .
aise adami ko sheeghr
phansi par latkaya jaye
aur hum hain kitne taqatvar
duniya ko batlaya jaye. . .
desh ki chhati par
keel ki tarah gaDa hai,
chapluson ke madhya
akela khaDa hai,
raja ka haath
uski drishti se baDa hai. . .
use apne aage
kuch dikhai nahin deta
apne siva, kuch sunai nahin deta
wo unko bhi nahin janta
jinki peeth par wo khaDa hai. . .
raja ke samne
sab gaun hain,
phir bhi na jane kyon
sadhe sab maun hain. . .
raat raja ne
sapne mein dekha
bhookh ke mare
koi chikha
usne mantri se puchha
batao to ye kaun hai?
mantri ne bataya
aisa adami
nahin paya jata hai
is desh mein
malum paDta hai
paDosi mulk ka jasus hai
jo aa gaya hai
is bhesh mein. . .
aise adami ko sheeghr
phansi par latkaya jaye
aur hum hain kitne taqatvar
duniya ko batlaya jaye. . .
स्रोत :
रचनाकार : नीरज नीर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.