मैं एक पारदर्शी अँधेरा हूँ
इंतज़ार कर रहा हूँ अपनी बारी का
रात होते ही उतरूँगा तुम्हारे कंधों पर
तुम्हारे बालों के वलय की घुप्प सुरंगें रार करती हैं मुझसे
तुम एक ही बाली क्यों पहनती हो प्रिये
आमंत्रण देती है मुझे ये
एक झूला झूल लेने का
और यह पिरामिड जहाँ से
समय भी गुज़रते हुए अपनी चाल धीमी कर लेता है
हवाओं को अनुशासित करते हैं
और हवाएँ एक संगीत की तरह आती-जाती रहती हैं
जिसमें एक शरद ऋतु चुपचाप पिघल कर बहती रहती है
तुम्हारी थकी-मुँदती आँखों में तुम्हारे ठीक सोने से पहले
मैं चमकते हुए सपने रख देता हूँ
और अपनी सारी सघनता झटक कर पारदर्शी बन जाता हूँ
ताकि मेरी सघनता तुम्हारे सपनों में व्यवधान न प्रस्तुत कर दे
क्या तुमने सोते हुए ख़ुद को कभी देखा है?
निश्चिंत... अँधेरे को समर्पित
असहाय... पस्त... नींद के आग़ोश में गुम
सपने भी वही देखती हो जो मैं तुम्हें परोसता हूँ
और तुम्हारी देह के वाद्यों से निकली अनुगूँज को नापते हुए
मेरी रात गुज़र जाती है
और मैं तुम्हारा ही एक उपनिवेश बनकर
ग़र्क़ हो जाना चाहता हूँ तुम्हारे पलंग के नीचे
तुम्हें उठना है सूरज के स्वागत के लिए तरोताज़ा
भागती रहोगी तुम शापित हाय
सूरज के पीछे
और मैं सजाता रहूँगा पूरा दिन वो सपने जो दे सकें तुम्हें ऊर्जा
देखा कितना सार्थक है मेरा होना तुम्हारे और सूरज के बीच में धरा
क्या तुम मुझे पहचानती हो
मैं हर बार उतरा हूँ तुम्हारे क़दमों में
और पी गया हूँ तुम्हारी सारी थकान
और अनंतकाल से मैं सोया नहीं हूँ
जबकि तुम अनंतकाल से भाग रही हो सूरज के पीछे
और तब जब भूल जाती हो मुझे एक स्वप्न की तरह
मैं लैम्पपोस्ट के नीचे खड़ा होकर प्रतीक्षा करता हूँ तुम्हारी
प्यार करता हूँ बिना शर्तों के।
main ek paradarshi andhera hoon
intzar kar raha hoon apni bari ka
raat hote hi utrunga tumhare kandhon par
tumhare balon ke walay ki ghupp surangen rar karti hain mujhse
tum ek hi bali kyon pahanti ho priye
amantran deti hai mujhe ye
ek jhula jhool lene ka
aur ye piramiD jahan se
samay bhi guzarte hue apni chaal dhimi kar leta hai
hawaon ko anushasit karte hain
aur hawayen ek sangit ki tarah aati jati rahti hain
jismen ek sharad ritu chupchap pighal kar bahti rahti hai
tumhari thaki mundati ankhon mein tumhare theek sone se pahle
main chamakte hue sapne rakh deta hoon
aur apni sari saghanta jhatak kar paradarshi ban jata hoon
taki meri saghanta tumhare sapnon mein wyawdhan na prastut kar de
kya tumne sote hue khu ko kabhi dekha hai?
nishchint andhere ko samarpit
asahaye past neend ke aghosh mein gum
sapne bhi wahi dekhti ho jo main tumhein parosta hoon
aur tumhari deh ke wadyon se nikli anugunj ko napte hue
meri raat guzar jati hai
aur main tumhara hi ek upniwesh bankar
gharq ho jana chahta hoon tumhare palang ke niche
tumhein uthna hai suraj ke swagat ke liye tarotaza
bhagti rahogi tum shapit hay
suraj ke pichhe
aur main sajata rahunga pura din wo sapne jo de saken tumhein urja
dekha kitna sarthak hai mera hona tumhare aur suraj ke beech mein dhara
kya tum mujhe pahchanti ho
main har bar utra hoon tumhare qadmon mein
aur pi gaya hoon tumhari sari thakan
aur anantkal se main soya nahin hoon
jabki tum anantkal se bhag rahi ho suraj ke pichhe
aur tab jab bhool jati ho mujhe ek swapn ki tarah
main laimppost ke niche khaDa hokar pratiksha karta hoon tumhari
pyar karta hoon bina sharton ke

स्रोत :
पुस्तक : मेरी यात्रा का ज़रूरी सामान (पृष्ठ 104)
रचनाकार : लीना मल्होत्रा राव
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.