प्यार हमारे जीवन में
दिखा नहीं वैसे
जैसे पानी की सतह पर
तैरता दिखता है
तीसी का तेल
प्यार हमने
वैसे भी नहीं किया
जैसे हिंदी की
बंबइया फ़िल्मों में करते हैं
हीरो-हीरोइन
प्यार की गरमाहट से
भरे रहते थे हम
हर वक़्त हर मोड़ पर
ज़िंदगी को बनाते हुए
कुछ और ख़ूबसूरत
बिना किसी शोर-शराबे के
प्यार हमारे लिए
ग़ुलामी नहीं थी
आज़ादी भी नहीं थी
ज़रूरत से ज़्यादा
प्यार करते हुए ही
बनाए हमने
तिनका-तिनका जोड़कर घोंसला
दाने ले आए दूर देश से
उसके अंदर
हर मौसम का किया मुक़ाबला
साथ-साथ लड़े
हँसे-रोए साथ-साथ
हर मोरचे पर
कई बार सोचा हमने
अलग होने के बारे में
पर हमेशा लगा कि
मुमक़िन नहीं
अलग होना
पानी से मछली का!
pyaar hamare jivan mein
dikha nahin vaise
jaise pani ki satah par
tairta dikhta hai
tisi ka tel
pyaar hamne
vaise bhi nahin kiya
jaise hindi ki
bambaiya filmon mein karte hain
hiro hiroin
pyaar ki garmahat se
bhare rahte the hum
har vaqt har moD par
zindagi ko banate hue
kuch aur khubsurat
bina kisi shor sharabe ke
pyaar hamare liye
ghulami nahin thi
azadi bhi nahin thi
zarurat se zyada
pyaar karte hue hi
banaye hamne
tinka tinka joDkar ghonsla
dane le aaye door desh se
uske andar
har mausam ka kiya muqabala
saath saath laDe
hanse roe saath saath
har morche par
kai baar socha hamne
alag hone ke bare men
par hamesha laga ki
mumqin nahin
alag hona
pani se machhli ka!
pyaar hamare jivan mein
dikha nahin vaise
jaise pani ki satah par
tairta dikhta hai
tisi ka tel
pyaar hamne
vaise bhi nahin kiya
jaise hindi ki
bambaiya filmon mein karte hain
hiro hiroin
pyaar ki garmahat se
bhare rahte the hum
har vaqt har moD par
zindagi ko banate hue
kuch aur khubsurat
bina kisi shor sharabe ke
pyaar hamare liye
ghulami nahin thi
azadi bhi nahin thi
zarurat se zyada
pyaar karte hue hi
banaye hamne
tinka tinka joDkar ghonsla
dane le aaye door desh se
uske andar
har mausam ka kiya muqabala
saath saath laDe
hanse roe saath saath
har morche par
kai baar socha hamne
alag hone ke bare men
par hamesha laga ki
mumqin nahin
alag hona
pani se machhli ka!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.