दादा के थे दो बेटे
एक भावुक और दूसरा दुनियादार
उन दोनों के थे पाँच बेटे
चार और एक यानी पाँच
चारों बोलते हम हैं पाँच
जैसे हों दो हाथ की पाँच उँगलियाँ
उन दोनों बेटों के बीच थीं
पाँच उँगलियों जैसी बहनें
भाईचारे को भले लगा हो ग्रहण
बहनापे में कमी न थी
दादा के बड़े बेटे के पास
परिवार नियोजन के थे दो त्रिभुज
छोटे बेटे ने रखा था ध्यान
त्रिभुज के बगल में खींच रखी थी बड़ी लकीर
सवा दो कट्ठे की साबुत ज़मीन
अघोषित बँटी थी दो हिस्सों में
आधे हिस्से में खड़े थे चार दावेदार
एक वहाँ से निकला
और मामला सलटा ले गया बड़े भाई से
तीसरे ने सोची थी सवा दो कट्ठे में
बनेगा बड़ा-सा मकान
रहेंगे सभी साथ-साथ
आधे के हक़दार ने
बे-बँटे ज़मीन को आधे-आधे मान
उठा लिया था दीवार और
भावुक बाप के बड़े बेटे ने
आगे से बना लिया था
अपना शीशमहल
बची रह गई कोने की ज़मीन
वहाँ छा गया था अब अँधेरा, सीलन
और बजबजाती नाली-सा कीचड़
क़ानूनन ठीक इसी तरह बँटती वह ज़मीन
बाँट ली थी एक को छोड़ सभी ने दादा की ज़मीन
और ढाह दिया था पुरखों का घर।
dada ke the do bete
ek bhawuk aur dusra duniyadar
un donon ke the panch bete
chaar aur ek yani panch
charon bolte hum hain panch
jaise hon do hath ki panch ungliyan
un donon beton ke beech theen
panch ungliyon jaisi bahnen
bhaichare ko bhale laga ho grahn
bahnape mein kami na thi
dada ke baDe bete ke pas
pariwar niyojan ke the do tribhuj
chhote bete ne rakha tha dhyan
tribhuj ke bagal mein kheench rakhi thi baDi lakir
sawa do katthe ki sabut zamin
aghoshait banti thi do hisson mein
adhe hisse mein khaDe the chaar dawedar
ek wahan se nikla
aur mamla salta le gaya baDe bhai se
tisre ne sochi thi sawa do katthe mein
banega baDa sa makan
rahenge sabhi sath sath
adhe ke haqdar ne
be bante zamin ko aadhe aadhe man
utha liya tha diwar aur
bhawuk bap ke baDe bete ne
age se bana liya tha
apna shishamhal
bachi rah gai kone ki zamin
wahan chha gaya tha ab andhera, silan
aur bajabjati nali sa kichaD
qanunan theek isi tarah bantati wo zamin
bant li thi ek ko chhoD sabhi ne dada ki zamin
aur Dhah diya tha purkhon ka ghar
dada ke the do bete
ek bhawuk aur dusra duniyadar
un donon ke the panch bete
chaar aur ek yani panch
charon bolte hum hain panch
jaise hon do hath ki panch ungliyan
un donon beton ke beech theen
panch ungliyon jaisi bahnen
bhaichare ko bhale laga ho grahn
bahnape mein kami na thi
dada ke baDe bete ke pas
pariwar niyojan ke the do tribhuj
chhote bete ne rakha tha dhyan
tribhuj ke bagal mein kheench rakhi thi baDi lakir
sawa do katthe ki sabut zamin
aghoshait banti thi do hisson mein
adhe hisse mein khaDe the chaar dawedar
ek wahan se nikla
aur mamla salta le gaya baDe bhai se
tisre ne sochi thi sawa do katthe mein
banega baDa sa makan
rahenge sabhi sath sath
adhe ke haqdar ne
be bante zamin ko aadhe aadhe man
utha liya tha diwar aur
bhawuk bap ke baDe bete ne
age se bana liya tha
apna shishamhal
bachi rah gai kone ki zamin
wahan chha gaya tha ab andhera, silan
aur bajabjati nali sa kichaD
qanunan theek isi tarah bantati wo zamin
bant li thi ek ko chhoD sabhi ne dada ki zamin
aur Dhah diya tha purkhon ka ghar
स्रोत :
रचनाकार : मनोज मोहन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.