उत्तराधिकार के नाम पर मिलीं
कुछ चिट्ठियाँ जिनका जवाब देना है,
कुछ उधार जो चुकता करना है,
टूटे लोहे के बक्से, घिसे बरतन, कुछ गूदड़
जिन्हें देख-देख कर अपने पर स्वयं
दया दर्शाने से कुछ सिद्ध नहीं होता।
जिन्हें छोड़ा भी नहीं जा सकता
और न रखने के लिए इस बड़े शहर में
मकान का एक हिस्सा ही
ख़ाली किया जा सकता है।
बिजली का करेंट लगने से
कमरे में एक चिड़िया ने—मेरे सामने—
तड़प-तड़प कर जान छोड़ दी।
बिना रुके हो रही बरसात... जल-ही-जल...
इन सबके बीच ‘कन्फ़ेस’ करते हुए लगता है—
बहुत से रास्तों में एक होता है वह
आकाश तक पहुँचने वाली
पसंद-नापसंद के बीच
जिसका बिंदु स्थिर होता है।
एक ओर जब कि मृत्यु की प्रतीक्षा ही
उत्तेजना भरती हो,
दूसरी ओर उस तक घिसटते-घिसटते
सुबह और शाम की दूरी के घंटे
उँगलियों पर ही गिने जा सके।
चीज़ों के ठीक रूप की पहचान करते-करते,
चीज़ों के सही मायने समझने की कोशिश में,
उम्र की इस ड्योढ़ी पर पता लगा—
उसका व्याकरण और अर्थ सभी उलटा था।
ज़िंदगी के पूरे ग़लत पाठ को
दुबारा सही ढंग से
याद कर पाने का साहस जुटा रही हूँ।
uttaradhikar ke nam par milin
kuch chitthiyan jinka jawab dena hai,
kuch udhaar jo chukta karna hai,
tute lohe ke bakse, ghise bartan, kuch gudaD
jinhen dekh dekh kar apne par swayan
daya darshane se kuch siddh nahin hota
jinhen chhoDa bhi nahin ja sakta
aur na rakhne ke liye is baDe shahr mein
makan ka ek hissa hi
khali kiya ja sakta hai
bijli ka karent lagne se
kamre mein ek chiDiya ne—mere samne—
taDap taDap kar jaan chhoD di
bina ruke ho rahi barsat jal hi jal
in sabke beech ‘kanfes’ karte hue lagta hai—
bahut se raston mein ek hota hai wo
akash tak pahunchne wali
pasand napsand ke beech
jiska bindu sthir hota hai
ek or jab ki mirtyu ki pratiksha hi
uttejna bharti ho,
dusri or us tak ghisatte ghisatte
subah aur sham ki duri ke ghante
ungliyon par hi gine ja sake
chizon ke theek roop ki pahchan karte karte,
chizon ke sahi mayne samajhne ki koshish mein,
umr ki is DyoDhi par pata laga—
uska wyakaran aur arth sabhi ulta tha
zindagi ke pure ghalat path ko
dubara sahi Dhang se
yaad kar pane ka sahas juta rahi hoon
uttaradhikar ke nam par milin
kuch chitthiyan jinka jawab dena hai,
kuch udhaar jo chukta karna hai,
tute lohe ke bakse, ghise bartan, kuch gudaD
jinhen dekh dekh kar apne par swayan
daya darshane se kuch siddh nahin hota
jinhen chhoDa bhi nahin ja sakta
aur na rakhne ke liye is baDe shahr mein
makan ka ek hissa hi
khali kiya ja sakta hai
bijli ka karent lagne se
kamre mein ek chiDiya ne—mere samne—
taDap taDap kar jaan chhoD di
bina ruke ho rahi barsat jal hi jal
in sabke beech ‘kanfes’ karte hue lagta hai—
bahut se raston mein ek hota hai wo
akash tak pahunchne wali
pasand napsand ke beech
jiska bindu sthir hota hai
ek or jab ki mirtyu ki pratiksha hi
uttejna bharti ho,
dusri or us tak ghisatte ghisatte
subah aur sham ki duri ke ghante
ungliyon par hi gine ja sake
chizon ke theek roop ki pahchan karte karte,
chizon ke sahi mayne samajhne ki koshish mein,
umr ki is DyoDhi par pata laga—
uska wyakaran aur arth sabhi ulta tha
zindagi ke pure ghalat path ko
dubara sahi Dhang se
yaad kar pane ka sahas juta rahi hoon
स्रोत :
पुस्तक : पूरा ग़लत पाठ (पृष्ठ 68)
रचनाकार : स्नेहमयी चौधरी
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.