इस बार यह बुख़ार
तुम्हारे लिए है
लाल रिबन में बँधी राख-तश्तरी
एक आवाज़ पूछती है कि एक गुंबद से
दूसरे गुंबद में कैसे शाम को लोग पहुँचते हैं
गुंबद में रहने वाले लोगों के पास
कोई चाबी होती है क्या
दरवाज़े लगे होते हैं उनके कमरों में
पुराने उजाड़ गुंबद घर भी हो सकते हैं क्या
उनमें से होकर राख जब उड़ती है रातों में
वह लाल रिबन पहनती है
उतारती है
कंघी करती है
बेरहमी से बालों को खींचकर
कुछ बाल गुच्छमुच्छ हालत में
फेंक देती है।
पर यह बुख़ार कई चीज़ों के ख़िलाफ़ है
इस उम्र में भी दाँत काटने की
तुम्हारी आदत के ख़िलाफ़ यह बुख़ार
कल उतर जाएगा
बारिश के बाद बूढ़े गुंबद के पत्थरों में
फैला यह हरा रसीला रंग
तुम्हें कोई बात नहीं बता पाएगा
सारी बातें मुझे लिखकर
मुझे ही पढ़नी होंगी
रंग मुझमें फूटेगा
काफ़ी रात बुलाए गए अच्छे डॉक्टर का
बहुत तेज़ कैप्सूल अंदर
ख़ून में जाकर जैसे फूटता है।
is bar ye bukhar
tumhare liye hai
lal ribbon mein bandhi rakh tashtari
ek awaz puchhti hai ki ek gumbad se
dusre gumbad mein kaise sham ko log pahunchte hain
gumbad mein rahne wale logon ke pas
koi chabi hoti hai kya
darwaze lage hote hain unke kamron mein
purane ujaD gumbad ghar bhi ho sakte hain kya
unmen se hokar rakh jab uDti hai raton mein
wo lal ribbon pahanti hai
utarti hai
kanghi karti hai
berahmi se balon ko khinchkar
kuch baal guchchhmuchchh haalat mein
phenk deti hai
par ye bukhar kai chizon ke khilaf hai
is umr mein bhi dant katne ki
tumhari aadat ke khilaf ye bukhar
kal utar jayega
barish ke baad buDhe gumbad ke patthron mein
phaila ye hara rasila rang
tumhein koi baat nahin bata payega
sari baten mujhe likhkar
mujhe hi paDhani hongi
rang mujhmen phutega
kafi raat bulaye gaye achchhe doctor ka
bahut tez capsule andar
khoon mein jakar jaise phutta hai
is bar ye bukhar
tumhare liye hai
lal ribbon mein bandhi rakh tashtari
ek awaz puchhti hai ki ek gumbad se
dusre gumbad mein kaise sham ko log pahunchte hain
gumbad mein rahne wale logon ke pas
koi chabi hoti hai kya
darwaze lage hote hain unke kamron mein
purane ujaD gumbad ghar bhi ho sakte hain kya
unmen se hokar rakh jab uDti hai raton mein
wo lal ribbon pahanti hai
utarti hai
kanghi karti hai
berahmi se balon ko khinchkar
kuch baal guchchhmuchchh haalat mein
phenk deti hai
par ye bukhar kai chizon ke khilaf hai
is umr mein bhi dant katne ki
tumhari aadat ke khilaf ye bukhar
kal utar jayega
barish ke baad buDhe gumbad ke patthron mein
phaila ye hara rasila rang
tumhein koi baat nahin bata payega
sari baten mujhe likhkar
mujhe hi paDhani hongi
rang mujhmen phutega
kafi raat bulaye gaye achchhe doctor ka
bahut tez capsule andar
khoon mein jakar jaise phutta hai
स्रोत :
रचनाकार : विनोद भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.