ईश्वर के हरकारे
चल पड़े हैं
प्रेम की डाक लेकर
वसंत ऋतु में
उनके पास सभ्यता के
प्रथम प्रेम की स्मृतियों की
अनंत कहानियाँ हैं
रोशनी के आलोक में जब
शहर स्थिर है
ठीक उन्हीं पलों में
वो प्रेम की स्मृतियों की पातियाँ
मनुष्यों के सिरहाने रख
लौट जाना चाहते हैं अपने देश
प्रेम विनिमय के सबसे सुंदरतम समय में
जब दुनिया सो रही है गहरी नींद
ये कौन-सी दुनिया के लोग हैं
जो घर-गाम छोड़कर
लड़ रहे हैं लड़ाई,
आक़ाओं ने
जिनके चारों ओर
नुकीले तारों की बाड़ है लगाई
जो गा रहे हैं प्रार्थनाओं के गीत
जाग रहे हैं
और गा रहे हैं
जाग के गीत!
इन गीतों का नूर
जिनके चेहरों से टपक रहा है
प्रेम के मौसम में
क्रांति के गीत गाते
ये नौजवान
न प्रेम से अनभिज्ञ हैं
न हृदय-विहीन हैं
वे ये अवश्य जानते हैं कि
कि इस प्रेम-ऋतु में
प्रेम से प्रीतिकर
जागते रहना ज़रूरी है
सभी का प्रेम करना आवश्यक नहीं
कभी-कभी कुछ लोगों का प्रेम के दृश्यों से
छँट जाना भी ज़रूरी होता है
ईश्वर के संदेशवाहक
प्रेम की समस्त कलाएँ
और प्रेम की पातियाँ
उसी ज़मीन पर रखकर
प्रसन्न मन लौट आते हैं!
ishvar ke harkare
chal paDe hain
prem ki Daak lekar
vasant ritu men
unke paas sabhyata ke
pratham prem ki smritiyon ki
anant kahaniyan hain
roshni ke aalok mein jab
shahr sthir hai
theek unhin palon mein
wo prem ki smritiyon ki patiyan
manushyon ke sirhane rakh
laut jana chahte hain apne desh
prem vinimay ke sabse sundartam samay mein
jab duniya so rahi hai gahri neend
ye kaun si duniya ke log hain
jo ghar gaam chhoDkar
laD rahe hain laDai,
akaon ne
jinke charon or
nukile taron ki baaD
hai lagai
jo ga rahe hain prarthnaon ke geet
jaag rahe hain
aur ga rahe hain
jaag ke geet!
in giton ka noor
jinke chehron se tapak raha hai
prem ke mausam men
kranti ke geet gate
ye naujavan
na prem se anbhij~n hain
na hirdai vihin hain
ve ye avashy jante hain ki
ki is prem ritu men
prem se pritikar
jagte rahna zaruri hai
sabhi ka prem karna avashyak nahin
kabhi kabhi kuch logon ka prem ke drishyon se
chhant jana bhi zaruri hota hai
ishvar ke sandeshvahak
prem ki samast kalayen
aur prem ki patiyan
usi zamin par rakhkar
prasann man laut aate hain!
ishvar ke harkare
chal paDe hain
prem ki Daak lekar
vasant ritu men
unke paas sabhyata ke
pratham prem ki smritiyon ki
anant kahaniyan hain
roshni ke aalok mein jab
shahr sthir hai
theek unhin palon mein
wo prem ki smritiyon ki patiyan
manushyon ke sirhane rakh
laut jana chahte hain apne desh
prem vinimay ke sabse sundartam samay mein
jab duniya so rahi hai gahri neend
ye kaun si duniya ke log hain
jo ghar gaam chhoDkar
laD rahe hain laDai,
akaon ne
jinke charon or
nukile taron ki baaD
hai lagai
jo ga rahe hain prarthnaon ke geet
jaag rahe hain
aur ga rahe hain
jaag ke geet!
in giton ka noor
jinke chehron se tapak raha hai
prem ke mausam men
kranti ke geet gate
ye naujavan
na prem se anbhij~n hain
na hirdai vihin hain
ve ye avashy jante hain ki
ki is prem ritu men
prem se pritikar
jagte rahna zaruri hai
sabhi ka prem karna avashyak nahin
kabhi kabhi kuch logon ka prem ke drishyon se
chhant jana bhi zaruri hota hai
ishvar ke sandeshvahak
prem ki samast kalayen
aur prem ki patiyan
usi zamin par rakhkar
prasann man laut aate hain!
स्रोत :
रचनाकार : शालिनी सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.