मैं मिलूँगा तुमसे अतीत के एक चौराहे पर
जिस वक़्त मेरी दुनिया में तुम नहीं थीं।
कितना अकेला था मैं तुम्हारे बिना उस वक़्त में
मुझे उस जगह तुम्हारी ज़रूरत है।
हमने बहुत दुख झेले, बहुत अकेलापन सहा अकेले-अकेले
तुमने देखीं कई गर्म आँधियाँ
पत्तों को उड़ाकर ले जाती बंजर दोपहरों में
उस वक़्त तुम्हारे सपने में एक बीज में
दबा हुआ था मैं
अब तुम मुझे उस जगह पा सकती हो।
मैं पाना चाहता हूँ तुम्हें एक सुनसान समुद्र तट पर
जहाँ मैं अक्सर पाता था अपने आपको अकेला
तेल और बारूद की गंध तैरती रहती थी बोझिल हवा में
मुझे साँस लेने के लिए तुम्हारी ज़रूरत महसूस होती थी।
इस वक़्त जबकि भविष्य एक विशाल हरे घास के मैदान
की तरह हमारे सामने फैला हुआ है
हमारे तलुवों में खिल रहे हैं छोटे-छोटे घास के फूल
लेकिन बहुत दूरी तय करके हम यहाँ आए हैं
हमारे अतीत में बहुत सारी ख़ाली जगहें साँय-साँय करती हैं
पहले हमें एक दूसरे को उन जगहों पर पाना है।
main milunga tumse atit ke ek chaurahe par
jis waqt meri duniya mein tum nahin theen
kitna akela tha main tumhare bina us waqt mein
mujhe us jagah tumhari zarurat hai
hamne bahut dukh jhele, bahut akelapan saha akele akele
tumne dekhin kai garm andhiyan
patton ko uDakar le jati banjar dopahron mein
us waqt tumhare sapne mein ek beej mein
daba hua tha main
ab tum mujhe us jagah pa sakti ho
main pana chahta hoon tumhein ek sunsan samudr tat par
jahan main aksar pata tha apne aapko akela
tel aur barud ki gandh tairti rahti thi bojhil hawa mein
mujhe sans lene ke liye tumhari zarurat mahsus hoti thi
is waqt jabki bhawishya ek wishal hare ghas ke maidan
ki tarah hamare samne phaila hua hai
hamare taluwon mein khil rahe hain chhote chhote ghas ke phool
lekin bahut duri tay karke hum yahan aaye hain
hamare atit mein bahut sari khali jaghen sanya sanya karti hain
pahle hamein ek dusre ko un jaghon par pana hai

स्रोत :
पुस्तक : उर्वर प्रदेश (पृष्ठ 67)
संपादक : अन्विता अब्बी
रचनाकार : राजेंद्र धोड़पकर
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.