कितनी नफ़रत है मुझे इन टोह-लेती उँगलियों से
जो मेरे दिमाग़ के अंदर बुने जा रहे महीन रेशों में
धँसती चली जाती है। उन्हें उलझाती और बिखराती हुईं।
महीनों के श्रम से सुलझाए गए तार
एक गुच्छा-मुच्छा लच्छे की तरह मेरे अंदर फैल जाते हैं
इन टोह-लेती उँगलियों के एक ही स्पर्श से।
कैसी विवशता है। कवच की दरार, वह घातक साँस
जिससे होकर मेरे अंदर ज़हर फैलता है। लगातार। लगातार।
तेज़ाब की ज़हरीली और घातक शक्ति की तरह
हम एक-दूसरे के एहसास को खाते हैं। हर रोज़।
कहाँ है वह खौलता हुआ लावा? किन तहों के नीचे दबा हुआ?
तल की अँधेरी गहराइयों में उबलता हुआ?
निष्प्रयोजन शक्ति की बाँहें उछालता हुआ, शून्य में।
धूप यहाँ ज़र्द है। पानी में सड़ते हैं दिनों के पत्ते।
हवा विषाक्त है। धरती खिसकती है पैरों तले
दलदल की तरह और आकाश सीखचों की तरह तना है।
प्रेम एक शब्द है अपनी निर्जीव बिल्लौरी चमक में क़ैद।
बेजान और निस्पंद। और वह हमारे लिए नहीं है।
kitni nafar hai mujhe in toh leti ungliyon se
jo mere dimagh ke andar bune ja rahe muhin reshon mein
dhansti chali jati hai unhen uljhati aur bikhrati huin
mahinon ke shram se suljhaye gaye tar
ek guchchha muchchha lachchhe ki tarah mere andar phail jate hain
in toh leti ungliyon ke ek hi sparsh se
kaisi wiwashta hai kawach ki darar, wo ghatak sans
jisse hokar mere andar zahr phailta hai lagatar lagatar
tezab ki zahrili aur ghatak shakti ki tarah
hum ek dusre ke ehsas ko khate hain har roz
kahan hai wo khaulta hua lawa? kin tahon ke niche daba hua?
tal ki andheri gahraiyon mein ubalta hua?
nishprayojan shakti ki banhen uchhalta hua, shunya mein
dhoop yahan zard hai pani mein saDte hain dinon ke patte
hawa wishakt hai dharti khisakti hai pairon tale
daldal ki tarah aur akash sikhchon ki tarah tana hai
prem ek shabd hai apni nirjiw billauri chamak mein qaid
bejan aur nispand aur wo hamare liye nahin hai

स्रोत :
पुस्तक : कुल जमा-2 (पृष्ठ 47)
रचनाकार : नीलाभ
प्रकाशन : शब्द प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.