स्त्री मरेगी नहीं
चाहे उसे
दहेज़ के नाम पर
जला दो
या उसे
लड़की होने के नाते
गर्भ में ही मार डालो
या पैदा होने के बाद
दूध की बाल्टी में
उलटे मुँह डुबो दो
या किसी गली या पार्क में
खेलते हुए चुरा लो
और बेच दो वैश्यालय में
या मति भ्रष्ट करके
बना दो सूसाइड बॉम्बर
या कर दो सती
पति की चिता के साथ
या बुढ़ापे में
फेंक दो घर से बाहर
किसी बेकार
वस्तु की तरह
और भेज दो
वृंदावन की सड़कों पर
मरने के लिए
पर स्त्री मरेगी नहीं
वो स्त्री है
बार-बार जन्म लेगी
कभी ज़मीन के नीचे
घड़े के अंदर से
सीता की भाँति
या शिव की शक्ति से
पैदा हो जाएगी
दुर्गा के रूप में
कभी ग्रीस में
जूस के सिर से
जन्म लेगी
एथेना की तरह
जुलाहे की तरह
और कातती रहेगी सूत
वर्षों तक
या आदम की
किसी पसली से
पैदा हो जाएगी
हव्वा बन के
बनी रहेगी सदा
जीवित रहेगी स्त्री
stri maregi nahin
chahe use
dahez ke naam par
jala do
ya use
laDki hone ke nate
garbh mein hi maar Dalo
ya paida hone ke baad
doodh ki balti mein
ulte munh Dubo do
ya kisi gali ya park mein
khelte hue chura lo
aur bech do vaishyalay mein
ya mati bhrsht karke
bana do susaiD baumbar
ya kar do sati
pati ki chita ke saath
ya buDhape mein
phenk do ghar se bahar
kisi bekar
vastu ki tarah
aur bhej do
vrindavan ki saDkon par
marne ke liye
par stri maregi nahin
wo stri hai
baar baar janm legi
kabhi zamin ke niche
ghaDe ke andar se
sita ki bhanti
ya shiv ki shakti se
paida ho jayegi
durga ke roop mein
kabhi grees mein
joos ke sir se
janm legi
ethena ki tarah
julahe ki tarah
aur katti rahegi soot
varshon tak
ya aadam ki
kisi pasli se
paida ho jayegi
havva ban ke
bani rahegi sada
jivit rahegi stri
stri maregi nahin
chahe use
dahez ke naam par
jala do
ya use
laDki hone ke nate
garbh mein hi maar Dalo
ya paida hone ke baad
doodh ki balti mein
ulte munh Dubo do
ya kisi gali ya park mein
khelte hue chura lo
aur bech do vaishyalay mein
ya mati bhrsht karke
bana do susaiD baumbar
ya kar do sati
pati ki chita ke saath
ya buDhape mein
phenk do ghar se bahar
kisi bekar
vastu ki tarah
aur bhej do
vrindavan ki saDkon par
marne ke liye
par stri maregi nahin
wo stri hai
baar baar janm legi
kabhi zamin ke niche
ghaDe ke andar se
sita ki bhanti
ya shiv ki shakti se
paida ho jayegi
durga ke roop mein
kabhi grees mein
joos ke sir se
janm legi
ethena ki tarah
julahe ki tarah
aur katti rahegi soot
varshon tak
ya aadam ki
kisi pasli se
paida ho jayegi
havva ban ke
bani rahegi sada
jivit rahegi stri
स्रोत :
रचनाकार : रेखा राजवंशी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.