पिता सुनाते थे कहानी
बचपन की बात है
इसलिए राजा का नाम याद नहीं
पर
राजा
राजा जैसा नहीं था
मित्र-सा था
भेष बदल कर घूमता-फिरता था रात भर
और
लकड़ी बीनकर लौटती बुढ़िया को
घर तक पहुँचाता था
राजा जागता था और सो जाती थी जनता
अगली बार फिर कहानी सुनाते पिता
बुढ़िया बदल जाती
और कोई दुखियारा घेर लेता कहानी का वो हिस्सा
पिता की कहानी का राजा सोता नहीं था कभी
दुखियारे के बाद
कोई अनाथ बच्चा
लाड़ पा जाता राजा का
बरसों से
पिता ने ऐसी कहानी सुनानी छोड़ दी है
और चुनाव के दिनों
एकदम चुप्पी मार लेते हैं पिता
और
सारे बच्चे सहम जाते हैं
pita sunate the kahani
bachpan ki baat hai
isliye raja ka nam yaad nahin
par
raja
raja jaisa nahin tha
mitr sa tha
bhesh badal kar ghumta phirta tha ratbhar
aur
lakDi binkar lautti buDhiya ko
ghar tak pahunchata tha
raja jagata tha aur so jati thi janta
agli bar phir kahani sunate pita
buDhiya badal jati
aur koi dukhiyara gher leta kahani ka wo hissa
pita ki kahani ka raja sota nahin tha kabhi
dukhiyare ke baad
koi anath bachcha
laD pa jata raja ka
barson se
pita ne aisi kahani sunani chhoD di hai
aur chunaw ke dinon
ekdam chuppi mar lete hain pita
aur
sare bachche saham jate hain
pita sunate the kahani
bachpan ki baat hai
isliye raja ka nam yaad nahin
par
raja
raja jaisa nahin tha
mitr sa tha
bhesh badal kar ghumta phirta tha ratbhar
aur
lakDi binkar lautti buDhiya ko
ghar tak pahunchata tha
raja jagata tha aur so jati thi janta
agli bar phir kahani sunate pita
buDhiya badal jati
aur koi dukhiyara gher leta kahani ka wo hissa
pita ki kahani ka raja sota nahin tha kabhi
dukhiyare ke baad
koi anath bachcha
laD pa jata raja ka
barson se
pita ne aisi kahani sunani chhoD di hai
aur chunaw ke dinon
ekdam chuppi mar lete hain pita
aur
sare bachche saham jate hain
स्रोत :
पुस्तक : रेत पथ (अंक 3-5) (पृष्ठ 392)
रचनाकार : मनोज छाबड़ा
संस्करण : जुलाई 2014-दिसंबर 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.