उनके पास हँसी का तालाब था
बुआ जब भी आती थीं
हँसते हुए आती थीं
माँ पहले पीतल की परात में
उनके पैर धोती थीं
फिर चाय-नास्ता तैयार करती थीं और
रात में उनके पूरे शरीर की मालिश करती थीं
बुआ माँ की कर्मठता पर ख़ुश होते हुए कहतीं
'आज हमार कुल पीरा निकरि गय बहिनी'।
दिन में जब हम बुआ के साथ
खेतों पर जाते थे तो वो कभी नहीं कहती थीं कि
इन खेतों में उनकी भी हिस्सेदारी है
बल्कि खिली हुई फसल देखकर
वो लहलहा उठतीं और
अपने बचपन की यादों में पछाड़ें खाने लगतीं
तमाम कहानियाँ सुनातीं कि कैसे
एक बार तालाब में डूबते हुए पिता को
उन्होंने बचाया था
कैसे चाचा की शादी पर नाचते हुए उन्हें
भवानी सवार हुई थीं
बुआ जब जाने को होती थीं
माँ उनकी साड़ी के लिए पिता से ज़िद करतीं
और तमाम चीज़ों की गठरियाँ तैयार करती थीं
ठोकवा और परमल
भेली और लाई
गुड़ और सिरका की गठरियाँ
बुआ जब भी आती थीं
पिता की अर्थव्यवस्था बिगड़ जाती थी
पिता एक असफल अर्थशास्त्री थे
जाने से पहले उन्हें नई साड़ी पहनाई जाती
दीदी उनके बालों में जूड़े बाँधती और
भाभी उनके पल्लू संवारती और पैरों में रंग लगातीं
मां अपनी कर्मठता के संग्रहालय से
एक बार फिर पीतल की वही परात बाहर निकालती थीं
माँ के साथ हम लोग उन्हें छोड़ने वहाँ तक जाते
जहाँ से उन्हें अंतिम जीप मिलती थी
जीप में चढ़ने से पहले माँ और बुआ
छककर रोती थीं
खलासी रोते हुए
उनके रोने पर झल्ला जाता था
उनके पास आँसुओं का समंदर था
बुआ जब भी जाती थीं
रोते हुए जाती थीं।
unke paas hansi ka talab tha
bua jab bhi aati theen
hanste hue aati theen
maan pahle pital ki parat men
unke pair dhoti theen
phir chaay nasta taiyar karti theen aur
raat mein unke pure sharir ki malish karti theen
bua maan ki karmathta par khush hote hue kahtin
aaj hamar kul pira nikari gay bahini.
din mein jab hum bua ke saath
kheton par jate the to wo kabhi nahin kahti theen ki
in kheton mein unki bhi hissedari hai
balki khili hui phasal dekhkar
wo lahlaha uthtin aur
apne bachpan ki yadon mein pachhaDen khane lagtin
tamam kahaniyan sunatin ki kaise
ek baar talab mein Dubte hue pita ko
unhonne bachaya tha
kaise chacha ki shadi par nachte hue unhen
bhavani savar hui theen
bua jab jane ko hoti theen
maan unki saDi ke liye pita se zid kartin
aur tamam chizon ki gathriyan taiyar karti theen
thokava aur parmal
bheli aur lai
guD aur sirka ki gathriyan
bua jab bhi aati theen
pita ki arthavyvastha bigaD jati thi
pita ek asaphal arthashastri the
jane se pahle unhen nayi saDi pahnai jati
didi unke balon mein juDe bandhti aur
bhabhi unke pallu sanvarti aur pairon mein rang lagatin
maan apni karmathta ke sangrhalay se
ek baar phir pital ki vahi parat bahar nikalti theen
maan ke saath hum log unhen chhoDne vahan tak jate
jahan se unhen antim jeep milti thi
jeep mein chaDhne se pahle maan aur bua
chhakkar roti theen
khalasi rote hue
unke rone par jhalla jata tha
unke paas ansuon ka samandar tha
bua jab bhi jati theen
rote hue jati theen.
unke paas hansi ka talab tha
bua jab bhi aati theen
hanste hue aati theen
maan pahle pital ki parat men
unke pair dhoti theen
phir chaay nasta taiyar karti theen aur
raat mein unke pure sharir ki malish karti theen
bua maan ki karmathta par khush hote hue kahtin
aaj hamar kul pira nikari gay bahini.
din mein jab hum bua ke saath
kheton par jate the to wo kabhi nahin kahti theen ki
in kheton mein unki bhi hissedari hai
balki khili hui phasal dekhkar
wo lahlaha uthtin aur
apne bachpan ki yadon mein pachhaDen khane lagtin
tamam kahaniyan sunatin ki kaise
ek baar talab mein Dubte hue pita ko
unhonne bachaya tha
kaise chacha ki shadi par nachte hue unhen
bhavani savar hui theen
bua jab jane ko hoti theen
maan unki saDi ke liye pita se zid kartin
aur tamam chizon ki gathriyan taiyar karti theen
thokava aur parmal
bheli aur lai
guD aur sirka ki gathriyan
bua jab bhi aati theen
pita ki arthavyvastha bigaD jati thi
pita ek asaphal arthashastri the
jane se pahle unhen nayi saDi pahnai jati
didi unke balon mein juDe bandhti aur
bhabhi unke pallu sanvarti aur pairon mein rang lagatin
maan apni karmathta ke sangrhalay se
ek baar phir pital ki vahi parat bahar nikalti theen
maan ke saath hum log unhen chhoDne vahan tak jate
jahan se unhen antim jeep milti thi
jeep mein chaDhne se pahle maan aur bua
chhakkar roti theen
khalasi rote hue
unke rone par jhalla jata tha
unke paas ansuon ka samandar tha
bua jab bhi jati theen
rote hue jati theen.
स्रोत :
रचनाकार : यशवंत कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.