पिता चाहते तो
किसी तरह कर
उठा लेते एक घर
अगर चाहते यही
कुछ ढंग के हो सकते थे
कपड़े अपने
हम भी जा सकते थे
क़ायदे के किसी स्कूल
पिता चाहते
तो सूखे निवालों पर हम घर से न निकलते
सख़्त राहोंं पर कोसों नंगे पाँव न चलते
दिए की रोशनी में
अक्षरों के पतंगे न पकड़ते
बहुत कुछ नहीं था
पिता के वश में
यह सयानापन बहुत बचपन में
आ गया था हममें
मगर जो वे चाह लेते
तो शायद आसान कर देते
जीवन के कुछ एक रास्ते
जुटा सकते
दुनिया की दो चार सहूलियतें
लहरों से
हवाओं से
कह कर कम करवा सकते थे
थोड़े थपेड़े
औरों को देखते हम
फिर देखते
अपने पिता को
उनका चमकता चेहरा
उनका उठा माथा
चाहते तो पिता
कहानियों की कुछ परियों को
हमारे सपनों में ला सकते थे
हमारी ख़ातिर
झुक सकते थे
हाथ फैला सकते थे
लेकिन पिता ने
नहीं चाहा कुछ
न अपने लिए
न हमारे लिए
उन्होंने बस हमें
चाहा
और उसी चाहत से
हम बने
pita chahte to
kisi tarah kar
utha lete ek ghar
agar chahte yahi
kuch Dhang ke ho sakte the
kapDe apne
hum bhi ja sakte the
qayde ke kisi school
pita chahte
to sukhe niwalon par hum ghar se na nikalte
sakht rahonn par koson nange panw na chalte
diye ki roshni mein
akshron ke patange na pakaDte
bahut kuch nahin tha
pita ke wash mein
ye sayanapan bahut bachpan mein
a gaya tha hammen
magar jo we chah lete
to shayad asan kar dete
jiwan ke kuch ek raste
juta sakte
duniya ki do chaar sahuliyten
lahron se
hawaon se
kah kar kam karwa sakte the
thoDe thapeDe
auron ko dekhte hum
phir dekhte
apne pita ko
unka chamakta chehra
unka utha matha
chahte to pita
kahaniyon ki kuch pariyon ko
hamare sapnon mein la sakte the
hamari khatir
jhuk sakte the
hath phaila sakte the
lekin pita ne
nahin chaha kuch
na apne liye
na hamare liye
unhonne bus hamein
chaha
aur usi chahat se
hum bane
hamein iska afsos nahin hai!
pita chahte to
kisi tarah kar
utha lete ek ghar
agar chahte yahi
kuch Dhang ke ho sakte the
kapDe apne
hum bhi ja sakte the
qayde ke kisi school
pita chahte
to sukhe niwalon par hum ghar se na nikalte
sakht rahonn par koson nange panw na chalte
diye ki roshni mein
akshron ke patange na pakaDte
bahut kuch nahin tha
pita ke wash mein
ye sayanapan bahut bachpan mein
a gaya tha hammen
magar jo we chah lete
to shayad asan kar dete
jiwan ke kuch ek raste
juta sakte
duniya ki do chaar sahuliyten
lahron se
hawaon se
kah kar kam karwa sakte the
thoDe thapeDe
auron ko dekhte hum
phir dekhte
apne pita ko
unka chamakta chehra
unka utha matha
chahte to pita
kahaniyon ki kuch pariyon ko
hamare sapnon mein la sakte the
hamari khatir
jhuk sakte the
hath phaila sakte the
lekin pita ne
nahin chaha kuch
na apne liye
na hamare liye
unhonne bus hamein
chaha
aur usi chahat se
hum bane
hamein iska afsos nahin hai!
स्रोत :
रचनाकार : प्रेम रंजन अनिमेष
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.