आम का एक पेड़
कट गया है
गुम गया है छोटी
चिड़ियों का बसेरा
सुबह का मद्धम मधुगीत
कोलाहल में बदलता जा रहा है
धूसर होता जा रहा है
मेरी आत्मा का हरा रंग
अहम में ऐंठे देवों के यज्ञ में
समिधा होने को अभिशप्त
पड़ी हैं बेजान
कटे पेड़ की अस्थियाँ
सड़क की धूल में
धूसरित हैं सूखती जा रहीं
हरी पत्तियाँ
असंख्य फलों के
अजन्मे भ्रूणों का रुदन
पेड़ की छाल के भीतर रिस रहा है
रिस रहा है
मेरे भीतर का आदमी होना
इस सदी के
सबसे बड़े कटघरे में
इस सदी की सबसे दुखद
शोकसभा में अपराधी सा
मैं ख़ुद को खड़ा पाता हूँ
आम के एक पेड़ की मृत्यु पर।
aam ka ek peD
kat gaya hai
gum gaya hai chhoti
chiDiyon ka basera
subah ka maddham madhugit
kolahal mein badalta ja raha hai
dhusar hota ja raha hai
meri aatma ka hara rang
aham mein ainthe dewon ke yagya mein
samidha hone ko abhishapt
paDi hain bejan
kate peD ki asthiyan
saDak ki dhool mein
dhusarit hain sukhti ja rahin
hari pattiyan
asankhya phalon ke
ajanme bhrunon ka rudan
peD ki chhaal ke bhitar ris raha hai
ris raha hai
mere bhitar ka adami hona
is sadi ke
sabse baDe katghare mein
is sadi ki sabse dukhad
shokasbha mein apradhi sa
main khu ko khaDa pata hoon
am ke ek peD ki mirtyu par
aam ka ek peD
kat gaya hai
gum gaya hai chhoti
chiDiyon ka basera
subah ka maddham madhugit
kolahal mein badalta ja raha hai
dhusar hota ja raha hai
meri aatma ka hara rang
aham mein ainthe dewon ke yagya mein
samidha hone ko abhishapt
paDi hain bejan
kate peD ki asthiyan
saDak ki dhool mein
dhusarit hain sukhti ja rahin
hari pattiyan
asankhya phalon ke
ajanme bhrunon ka rudan
peD ki chhaal ke bhitar ris raha hai
ris raha hai
mere bhitar ka adami hona
is sadi ke
sabse baDe katghare mein
is sadi ki sabse dukhad
shokasbha mein apradhi sa
main khu ko khaDa pata hoon
am ke ek peD ki mirtyu par
स्रोत :
रचनाकार : विवेक चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.