जब मुझे लगता है
इस दुनिया में मेरा कोई नहीं
कोई मुझे प्यार नहीं करता
मुझे नहीं हराना किसी को
महत्वाकांक्षाओं की दौड़ में
मैं एक पेड़ के पास जाता हूँ।
जब मैं संकल्प दोहराता हूँ
मुझे किसी से कुछ नहीं चाहिए
सिर्फ़ लौटाते रहनी हैं समय को अपनी साँसें
जब दोस्तों के लायक मेरे पास कुछ नहीं होता
मैं एक पेड़ के पास जाता हूँ।
जब मुझे जाना होता है
अपनी धरती से दूर
बहुत दिनों के लिए
मै एक पेड़ के पास जाता हूँ।
मेरे सारे पूर्वज मिलकर
इतने घने नहीं हो सकते
जितना यह पेड़
इसके लिए मैंने कुछ नहीं किया
केवल इसके फल खाते हुए
इसे अपना कहते हुए मैं जवान हुआ
मैं जब इस पेड़ के पास होता हूँ
छाँव तले होता है मेरा वजूद
हवाएँ मुझे सराबोर कर देती हैं।
जितनी देर मैं पेड़ के पास होता हूँ
पेड़ मुझसे कुछ नहीं कहता
चुपचाप बरसाता है आशीर्वाद।
मैं लौटता हूँ दुनिया में।
jab mujhe lagta hai
is duniya mein mera koi nahin
koi mujhe pyar nahin karta
mujhe nahin harana kisi ko
mahatwakankshaon ki dauD mein
main ek peD ke pas jata hoon
jab main sankalp dohrata hoon
mujhe kisi se kuch nahin chahiye
sirf lautate rahni hain samay ko apni sansen
jab doston ke layak mere pas kuch nahin hota
main ek peD ke pas jata hoon
jab mujhe jana hota hai
apni dharti se door
bahut dinon ke liye
mai ek peD ke pas jata hoon
mere sare purwaj milkar
itne ghane nahin ho sakte
jitna ye peD
iske liye mainne kuch nahin kiya
kewal iske phal khate hue
ise apna kahte hue main jawan hua
main jab is peD ke pas hota hoon
chhanw tale hota hai mera wajud
hawayen mujhe sarabor kar deti hain
jitni der main peD ke pas hota hoon
peD mujhse kuch nahin kahta
chupchap barsata hai ashirwad
main lautta hoon duniya mein
jab mujhe lagta hai
is duniya mein mera koi nahin
koi mujhe pyar nahin karta
mujhe nahin harana kisi ko
mahatwakankshaon ki dauD mein
main ek peD ke pas jata hoon
jab main sankalp dohrata hoon
mujhe kisi se kuch nahin chahiye
sirf lautate rahni hain samay ko apni sansen
jab doston ke layak mere pas kuch nahin hota
main ek peD ke pas jata hoon
jab mujhe jana hota hai
apni dharti se door
bahut dinon ke liye
mai ek peD ke pas jata hoon
mere sare purwaj milkar
itne ghane nahin ho sakte
jitna ye peD
iske liye mainne kuch nahin kiya
kewal iske phal khate hue
ise apna kahte hue main jawan hua
main jab is peD ke pas hota hoon
chhanw tale hota hai mera wajud
hawayen mujhe sarabor kar deti hain
jitni der main peD ke pas hota hoon
peD mujhse kuch nahin kahta
chupchap barsata hai ashirwad
main lautta hoon duniya mein
स्रोत :
रचनाकार : शशिभूषण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.