पेड़ अघोरी तू बरगद का मैं इक चिरई ललमुनिया
गीत बसे तेरी हर पाती डूब-डूब के मैं सुनिया
हवा तुझे सहलाए जब-जब
सिहरन मुझको होती है
कोरे नैन भीगते तेरे
ललमुनिया यह रोती है
तेरी अँखियों के दरपन में देखी है मैंने दुनिया
पेड़ अघोरी तू बरगद का मैं इक चिरई ललमुनिया
जाने कौन ठौर का नाता
हम दोनों को एक किए
बिन स्वारथ बहती इक नदिया
दोनों तीरे तीर्थ बसे
सब उपमाएँ मौन खड़ी हैं मुस्कइयाँ अधराँ ठईया
पेड़ अघोरी तू बरगद का मैं इक चिरई ललमुनिया
मथुरा काशी से हम दोनों
प्रेमी औ वैरागी हैं
खोने-पाने से गाफ़िल
दोनो ऐसे अनुरागी हैं
जाने कौन काज की ख़ातिर क़िस्मत ने द्वय को चुनिया
पेड़ अघोरी तू बरगद का मैं इक चिरई ललमुनिया
peD aghori tu bargad ka main ik chirii lalamuniya
geet base teri har pati Doob Doob ke main suniya
hava tujhe sahlaye jab jab
siharan mujhko hoti hai
kore nain bhigte tere
lalamuniya ye roti hai
teri ankhiyon ke darpan mein dekhi hai maine duniya
peD aghori tu bargad ka main ik chirii lalamuniya
jane kaun thaur ka nata
hum dono ko ek kiye
bin svarath bahti ik nadiya
donon tere teerth base
sab upmayen maun khaDi hain muskaiyan adhran thaiya
peD aghori tu bargad ka main ik chirii lalamuniya
mathura kashi se hum donon
premi au vairagi hain
khone pane se gafil
dono aise anuragi hain
jane kaun kaaj ki khatir qismat ne dvay ko chuniya

स्रोत :
रचनाकार : आकृति विज्ञा 'अर्पण’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.