अरे!
तुम्हारी तो
सारी ही फ़सल
बर्बाद हो गई!
हाँ पटवारी जी!
आप देख लो!
कुछ भी नहीं बचा!
कहते-कहते
बुधिया का गला भर आया
ठीक है! ठीक है!
चिंता मत करो!
मुआवज़ा पूरा दिला दूँगा!
तुम्हें पता तो है न...
हाँ... हाँ... पटवारी जी
आपका... सरपंच जी का
ऊपरवालों का
सबका मालूम है...
पर मेरा घर तो बच जाएगा ना!
क्यों नहीं बचेगा!
तुम इतने समझदार हो!
हम सबके घर बचा रहे हो!
तुम्हारा घर भी पक्का बचेगा!
बुधिया के होंठों पर
मरी-मरी हँसी
जुड़े हुए हाथ
सरपंच-पटवारी के होंठों
कुटिल विजयी हँसी
पर सही राम को
कुछ भी मालूम नहीं था
न सरपंच का
न पटवारी का
न ऊपर वाले का
न घर बचाने का
किसी भी ग़लत का
बुधिया की बुद्धि से
उसका काम पहली ही लिस्ट में हो गया
पर सही राम की फ़ाइल
वहीं की वहीं अटकी है
वह आज भी
सरपंच-पटवारी के
चक्कर पर चक्कर लगा रहा है
अपने सही होने और
पता नहीं होने की सज़ा पा रहा है!
are!
tumhari to
sari hi fasal
barbad ho gai!
han patwari jee!
ap dekh lo!
kuch bhi nahin bacha!
kahte kahte
budhiya ka gala bhar aaya
theek hai! theek hai!
chinta mat karo!
muawza pura dila dunga!
tumhein pata to hai na
han han patwari ji
apka sarpanch ji ka
uparwalon ka
sabka malum hai
par mera ghar to bach jayega na!
kyon nahin bachega!
tum itne samajhdar ho!
hum sabke ghar bacha rahe ho!
tumhara ghar bhi pakka bachega!
budhiya ke honthon par
mari mari hansi
juDe hue hath
sarpanch patwari ke honthon
kutil wijyi hansi
par sahi ram ko
kuch bhi malum nahin tha
na sarpanch ka
na patwari ka
na upar wale ka
na ghar bachane ka
kisi bhi ghalat ka
budhiya ki buddhi se
uska kaam pahli hi list mein ho gaya
par sahi ram ki file
wahin ki wahin atki hai
wo aaj bhi
sarpanch patwari ke
chakkar par chakkar laga raha hai
apne sahi hone aur
pata nahin hone ki saza pa raha hai!
are!
tumhari to
sari hi fasal
barbad ho gai!
han patwari jee!
ap dekh lo!
kuch bhi nahin bacha!
kahte kahte
budhiya ka gala bhar aaya
theek hai! theek hai!
chinta mat karo!
muawza pura dila dunga!
tumhein pata to hai na
han han patwari ji
apka sarpanch ji ka
uparwalon ka
sabka malum hai
par mera ghar to bach jayega na!
kyon nahin bachega!
tum itne samajhdar ho!
hum sabke ghar bacha rahe ho!
tumhara ghar bhi pakka bachega!
budhiya ke honthon par
mari mari hansi
juDe hue hath
sarpanch patwari ke honthon
kutil wijyi hansi
par sahi ram ko
kuch bhi malum nahin tha
na sarpanch ka
na patwari ka
na upar wale ka
na ghar bachane ka
kisi bhi ghalat ka
budhiya ki buddhi se
uska kaam pahli hi list mein ho gaya
par sahi ram ki file
wahin ki wahin atki hai
wo aaj bhi
sarpanch patwari ke
chakkar par chakkar laga raha hai
apne sahi hone aur
pata nahin hone ki saza pa raha hai!
स्रोत :
रचनाकार : नवनीत पांडे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.