ऐसा क्या-किया था शिव तुमने?
रची थी कौन-सी लीला?
जो इतना विख्यात हो गया तुम्हारा लिंग
माताएँ बेटों के यश, धन व पुत्रादि के लिए
पतिव्रताएँ पति की लंबी उम्र के लिए
अच्छे घर-वर के लिए कुवाँरियाँ
पूजती है तुम्हारे लिंग को
दूध-दही-गुड़-फल-मेवा वग़ैरह
अर्पित होता है तुम्हारे लिंग पर
रोली, चंदन, महावर से
आड़ी-तिरछी लकीरें काढ़कर,
सजाया जाता है उसे
फिर ढोक देकर बारम्बार
गाती हैं आरती
उच्चारती हैं एक सौ आठ नाम
तुम्हारे लिंग को दूध से धोकर
माथे पर लगाती हैं टीका
जीभ पर रखकर
बड़े स्वाद से स्वीकार करती हैं
लिंग पर चढ़े हुए प्रसाद को
वे नहीं जानतीं कि यह
पार्वती की योनि में स्थित
तुम्हारा लिंग है,
वे इसे भगवान समझती हैं,
अवतारी मानती हैं,
तुम्हारा लिंग गर्व से इठलाता
समाया रहता है पार्वती-योनि में,
और उससे बहता रहता है
दूध, दही और नैवेद्य...
जिसे लाँघना निषेध है
इसलिए वे औरतें
करतीं हैं आधी परिक्रमा
वे नहीं सोच पातीं
कि यदि लिंग का अर्थ
स्त्रीलिंग या पुल्लिंग दोनों है
तो इसका नाम पार्वती-लिंग क्यों नहीं?
और यदि लिंग केवल पुरुषांग है
तो फिर इसे पार्वती-योनि भी
क्यों न कहा जाए?
लिंगपूजकों ने
चूँकि नहीं पढ़ा ‘कुमारसंभव’
और पढ़ा तो ‘कामसूत्र’ भी नहीं होगा,
सच जानते ही कितना हैं?
हालाँकि पढ़े-लिखे हैं
कुछ ने पढ़ी है केवल 'स्त्री-सुबोधिनी'
वे अगर पढ़ते और जान पाते
कि कैसे धर्म, समाज और सत्ता
मिलकर दमन करते हैं योनि का
अगर कहीं वेद-पुराण और इतिहास के
महान मोटे ग्रंथों की सच्चाई!
औरत समझ जाए
तो फिर वह पूछ सकती है
संभोग के इस शास्त्रीय प्रतीक के—
स्त्री-पुरुष के समरस होने की मुद्रा के—
दो नाम नहीं हो सकते थे क्या?
वे पढ़ लेंगी
तो निश्चित ही पूछेंगी,
कि इस दृश्य को गढ़ने वाले
कलाकारों की जीभ
क्या पितृसमर्पित सम्राटों ने कटवा दी थी
क्या बदले में भेंट कर दी गई थीं
लाखों अशर्फ़ियाँ,
कि गूँगे हो गए शिल्पकार
और बता नहीं पाए
कि संभोग के इस प्रतीक में
एक और सहयोगी है
जिसे पार्वती-योनि कहते हैं।
aisa kya kiya tha shiw tumne?
rachi thi kaun si lila?
jo itna wikhyat ho gaya tumhara ling
matayen beton ke yash, dhan wa putradi ke liye
patiwrtayen pati ki lambi umr ke liye
achchhe ghar war ke liye kuwanriyan
pujti hai tumhare ling ko
doodh dahi guD phal mewa waghairah
arpit hota hai tumhare ling par
roli, chandan, mahawar se
aDi tirchhi lakiren kaDhkar,
sajaya jata hai use
phir Dhok dekar barambar
gati hain aarti
uchcharti hain ek sau aath nam
tumhare ling ko doodh se dhokar
mathe par lagati hain tika
jeebh par rakhkar
baDe swad se swikar karti hain
ling par chaDhe hue parsad ko
we nahin jantin ki ye
parwati ki yoni mein sthit
tumhara ling hai,
we ise bhagwan samajhti hain,
awtari manti hain,
tumhara ling garw se ithlata
samaya rahta hai parwati yoni mein,
aur usse bahta rahta hai
doodh, dahi aur naiwedy
jise langhana nishaedh hai
isliye we aurten
kartin hain aadhi parikrama
we nahin soch patin
ki yadi ling ka arth
striling ya pulling donon hai
to iska nam parwati ling kyon nahin?
aur yadi ling kewal purushang hai
to phir ise parwati yoni bhi
kyon na kaha jaye?
lingpujkon ne
chunki nahin paDha ‘kumarsambhaw’
aur paDha to ‘kamsutr’ bhi nahin hoga,
sach jante hi kitna hain?
halanki paDhe likhe hain
kuch ne paDhi hai kewal istri subodhini
we agar paDhte aur jaan pate
ki kaise dharm, samaj aur satta
milkar daman karte hain yoni ka
agar kahin wed puran aur itihas ke
mahan mote granthon ki sachchai!
aurat samajh jaye
to phir wo poochh sakti hai
sambhog ke is shastriy pratik ke—
istri purush ke samras hone ki mudra ke—
do nam nahin ho sakte the kya?
we paDh lengi
to nishchit hi puchhengi,
ki is drishya ko gaDhne wale
kalakaron ki jeebh
kya pitrismarpit samraton ne katwa di thi
kya badle mein bhent kar di gai theen
lakhon asharfiyan,
ki gunge ho gaye shilpakar
aur bata nahin pae
ki sambhog ke is pratik mein
ek aur sahyogi hai
jise parwati yoni kahte hain
aisa kya kiya tha shiw tumne?
rachi thi kaun si lila?
jo itna wikhyat ho gaya tumhara ling
matayen beton ke yash, dhan wa putradi ke liye
patiwrtayen pati ki lambi umr ke liye
achchhe ghar war ke liye kuwanriyan
pujti hai tumhare ling ko
doodh dahi guD phal mewa waghairah
arpit hota hai tumhare ling par
roli, chandan, mahawar se
aDi tirchhi lakiren kaDhkar,
sajaya jata hai use
phir Dhok dekar barambar
gati hain aarti
uchcharti hain ek sau aath nam
tumhare ling ko doodh se dhokar
mathe par lagati hain tika
jeebh par rakhkar
baDe swad se swikar karti hain
ling par chaDhe hue parsad ko
we nahin jantin ki ye
parwati ki yoni mein sthit
tumhara ling hai,
we ise bhagwan samajhti hain,
awtari manti hain,
tumhara ling garw se ithlata
samaya rahta hai parwati yoni mein,
aur usse bahta rahta hai
doodh, dahi aur naiwedy
jise langhana nishaedh hai
isliye we aurten
kartin hain aadhi parikrama
we nahin soch patin
ki yadi ling ka arth
striling ya pulling donon hai
to iska nam parwati ling kyon nahin?
aur yadi ling kewal purushang hai
to phir ise parwati yoni bhi
kyon na kaha jaye?
lingpujkon ne
chunki nahin paDha ‘kumarsambhaw’
aur paDha to ‘kamsutr’ bhi nahin hoga,
sach jante hi kitna hain?
halanki paDhe likhe hain
kuch ne paDhi hai kewal istri subodhini
we agar paDhte aur jaan pate
ki kaise dharm, samaj aur satta
milkar daman karte hain yoni ka
agar kahin wed puran aur itihas ke
mahan mote granthon ki sachchai!
aurat samajh jaye
to phir wo poochh sakti hai
sambhog ke is shastriy pratik ke—
istri purush ke samras hone ki mudra ke—
do nam nahin ho sakte the kya?
we paDh lengi
to nishchit hi puchhengi,
ki is drishya ko gaDhne wale
kalakaron ki jeebh
kya pitrismarpit samraton ne katwa di thi
kya badle mein bhent kar di gai theen
lakhon asharfiyan,
ki gunge ho gaye shilpakar
aur bata nahin pae
ki sambhog ke is pratik mein
ek aur sahyogi hai
jise parwati yoni kahte hain
स्रोत :
रचनाकार : नेहा नरूका
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.