141
परपत्नी-रति-मूढ़ता, है नहिं उनमें जान।
धर्म-अर्थ के शास्त्र का, जिनको तत्वज्ञान॥
142
धर्म-भ्रष्टों में नहीं, ऐसा कोई मूढ़।
जैसा अन्यद्वार पर, खड़ा रहा जो मूढ़॥
143
दृढ़ विश्वासी मित्र की, स्त्री से पापाचार।
जो करता वो मृतक से, भिन्न नहीं है, यार॥
144
क्या होगा उसको अहो, रखते विभव अनेक।
यदि रति हो पर-दार में, तनिक न बुद्धि विवेक॥
145
पर-पत्नी-रत जो हुआ, सुलभ समझ निश्शंक।
लगे रहे चिर काल तक, उसपर अमिट कलंक॥
146
पाप, शत्रुता, और भय, निन्दा मिल कर चार।
ये उसको छोड़ें नहीं, जो करता व्यभिचार॥
147
जो गृहस्थ पर-दार पर, होवे नहिं आसक्त।
माना जाता है वही, धर्म-कर्म अनुरक्त॥
148
पर-नारी नहिं ताकना, है धीरता महान।
धर्म मात्र नहिं संत का, सदाचरण भी जान॥
149
सागर-बलयित भूमि पर, कौन भोग्य के योग्य।
आलिंगन पर-नारि को, जो न करे वह योग्य॥
150
पाप-कर्म चाहे करें, धर्म मार्ग को छोड़।
पर-गृहिणी की विरति हो, तो वह गुण बेजोड़॥
141
parpatni rati muDhta, hai nahin unmen jaan.
dharm arth ke shaastr ka, jinko tatvagyan॥
142
dharm bhrashton mein nahi, aisa koi mooDh.
jaisa anyadvar par, khaDa raha jo mooDh॥
143
driDh vishvasi mitr ki, istri se papachar.
jo karta wo mritak se, bhinn nahin hai, yaar॥
144
kya hoga usko aho, rakhte vibhav anek.
yadi rati ho par daar mein, tanik na buddhi vivek॥
145
par patni rat jo hua, sulabh samajh nishshank.
lage rahe chir kaal tak, uspar amit kalank॥
146
paap, shatruta, aur bhay, ninda mil kar chaar.
ye usko chhoDen nahin, jo karta vyabhichar॥
147
jo grihasth par daar par, hove nahin asakt.
mana jata hai vahi, dharm karm anurakt॥
148
par nari nahin takana, hai dhirta mahan.
dharm maatr nahin sant ka, sadacharn bhi jaan॥
149
sagar balyit bhumi par, kaun bhogy ke yogya.
alingan par nari ko, jo na kare wo yogya॥
150
paap karm chahe karen, dharm maarg ko chhoD.
par grihinai ki virti ho, to wo gun bejoD॥

स्रोत :
पुस्तक : तिरुक्कुरल : भाग 1 - धर्म-कांड
रचनाकार : तिरुवल्लुवर
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.