कौन सा गीत बज रहा है सुन रहा हूँ...
तुम जो हमाऽऽरे गीऽत न होऽते
गीऽत ये मेरे प्रीऽत...
किस उमर में पहुँच गया समय!
किस गली में किस पेड़ की छाँव में!
टुटही साइकिल के सहारे सपनों का संसार लाँघता
कैसे आकुलता
व्याकुलता की जाने किस हुमस की ज्वार भरी लहरों पे तैरता
पैडल मारते सेकंड इयर में,
पहुँच गया वह लड़का अपने प्यार की ख़तरनाक धार की
ज़द में बंसी की धुन सुनता...
इस वक़्त
उस अधेड़ को बंसरी के उस मादक संसार से
निकालना कठिन है उसे बाल-बच्चों के लिए भी
जिनकी महतारी की आँखों में एक डोर है ताँत की,
वही खींच सकती है उसे अपने पेड़ तक
अगर चाहे
इतनी यातना में फँसे अपने पुरुष को
एक स्त्री जो बचा सकती थी वह पत्नी
चार बच्चों की महतारी पति के प्रेमों से घृणा करती
इस अद्भुत अगियार से
साबुत जलते मुझको जो निकाल सकती थी साबुत
वह स्त्री घर में नहीं थी
अपने मायके गई थी
रोज़-रोज़ की नफ़रत
रोज़-रोज़ की हुज्जत
रोज़-रोज़ घटती चाहत के कुएँ का जल ऊँचा करने के लिए
सोया सोता जगाने के लिए
छोड़ गई थी जो मुँह लटकाए बाल-बच्चे
और उनके सहारे पति
बच्चों को लिखती थी वो
पापा का ध्यान रखना
kaun sa geet baj raha hai sun raha hoon
tum jo hamaऽऽre geeऽt na hoऽte
geeऽt ye mere preeऽt
kis umar mein pahunch gaya samay!
kis gali mein kis peD ki chhanw mein!
tuthi cycle ke sahare sapnon ka sansar langhata
kaise akulta
wyakulta ki jane kis humas ki jwar bhari lahron pe tairta
paiDal marte sekanD iyar mein,
pahunch gaya wo laDka apne pyar ki khatarnak dhaar ki
zad mein bansi ki dhun sunta
is waqt
us adheD ko bansri ke us madak sansar se
nikalna kathin hai use baal bachchon ke liye bhi
jinki mahtari ki ankhon mein ek Dor hai tant ki,
wahi kheench sakti hai use apne peD tak
agar chahe
itni yatana mein phanse apne purush ko
ek istri jo bacha sakti thi wo patni
chaar bachchon ki mahtari pati ke premon se ghrina karti
is adbhut agiyar se
sabut jalte mujhko jo nikal sakti thi sabut
wo istri ghar mein nahin thi
apne mayke gai thi
roz roz ki nafar
roz roz ki hujjat
roz roz ghatti chahat ke kuen ka jal uncha karne ke liye
soya sota jagane ke liye
chhoD gai thi jo munh latkaye baal bachche
aur unke sahare pati
bachchon ko likhti thi wo
papa ka dhyan rakhna
kaun sa geet baj raha hai sun raha hoon
tum jo hamaऽऽre geeऽt na hoऽte
geeऽt ye mere preeऽt
kis umar mein pahunch gaya samay!
kis gali mein kis peD ki chhanw mein!
tuthi cycle ke sahare sapnon ka sansar langhata
kaise akulta
wyakulta ki jane kis humas ki jwar bhari lahron pe tairta
paiDal marte sekanD iyar mein,
pahunch gaya wo laDka apne pyar ki khatarnak dhaar ki
zad mein bansi ki dhun sunta
is waqt
us adheD ko bansri ke us madak sansar se
nikalna kathin hai use baal bachchon ke liye bhi
jinki mahtari ki ankhon mein ek Dor hai tant ki,
wahi kheench sakti hai use apne peD tak
agar chahe
itni yatana mein phanse apne purush ko
ek istri jo bacha sakti thi wo patni
chaar bachchon ki mahtari pati ke premon se ghrina karti
is adbhut agiyar se
sabut jalte mujhko jo nikal sakti thi sabut
wo istri ghar mein nahin thi
apne mayke gai thi
roz roz ki nafar
roz roz ki hujjat
roz roz ghatti chahat ke kuen ka jal uncha karne ke liye
soya sota jagane ke liye
chhoD gai thi jo munh latkaye baal bachche
aur unke sahare pati
bachchon ko likhti thi wo
papa ka dhyan rakhna
स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 122-124 (पृष्ठ 13)
संपादक : मनोहर वर्मा
रचनाकार : सोमदत्त
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.