ये जो परिंदों के छिपने का खेल है
पत्तों में
पेड़ों के पत्तों में
पेड़ों की शाखों के पत्तों में
आकर, दिखाकर
चमकीला-सा, हरा नीला रंग
कि ये मैं हूँ
मैं ही हूँ यह रंग
और कोई नहीं
रूप भी मैं ही हूँ
नर्तकी से भी अधिक ख़ूबसूरत
पारंगत है
गर्दन से मेरे मुआयने की मुद्रा
मेरे सर की थाप
मेरे हिलने का संगीत
ये पत्तों की शाख़ाें पर
हवा में हिलने के साथ का गीत
ये हवा की महक
गति इस मिलाप की
जिसे सुना जा सकता है
छुआ भी
बिना किसी यंत्र
खड़े होकर केवल
थोड़ी देर खुली हवा में...
ye jo parindon ke chhipne ka khel hai
patton mein
peDon ke patton mein
peDon ki shakhon ke patton mein
akar, dikhakar
chamkila sa, hara nila rang
ki ye main hoon
main hi hoon ye rang
aur koi nahin
roop bhi main hi hoon
nartki se bhi adhik khubsurat
parangat hai
gardan se mere muayne ki mudra
mere sar ki thap
mere hilne ka sangit
ye patton ki shakhaen par
hawa mein hilne ke sath ka geet
ye hawa ki mahak
gati is milap ki
jise suna ja sakta hai
chhua bhi
bina kisi yantr
khaDe hokar kewal
thoDi der khuli hawa mein
ye jo parindon ke chhipne ka khel hai
patton mein
peDon ke patton mein
peDon ki shakhon ke patton mein
akar, dikhakar
chamkila sa, hara nila rang
ki ye main hoon
main hi hoon ye rang
aur koi nahin
roop bhi main hi hoon
nartki se bhi adhik khubsurat
parangat hai
gardan se mere muayne ki mudra
mere sar ki thap
mere hilne ka sangit
ye patton ki shakhaen par
hawa mein hilne ke sath ka geet
ye hawa ki mahak
gati is milap ki
jise suna ja sakta hai
chhua bhi
bina kisi yantr
khaDe hokar kewal
thoDi der khuli hawa mein
स्रोत :
रचनाकार : पंखुरी सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.