प्रेम,
मेरे जीवन में,
सदैव ही भू-चाल की तरह आया
तब भी,
जब वो प्रेम था भी नहीं।
प्रेम की चाह, प्रेम की छुअन
कहाँ-कहाँ नहीं ले गई मुझे
अपनी आस मे।
प्रेम ने मुझे, प्रेम होते हुए भी
प्रेम ढूँढ़ने पर विवश कर दिया।
या फिर, दोबारा आँख लगने पर
कर दिया बाध्य
मेज़ के नीचे छुपकर
ख़ुद को और प्रेम को बचाने के लिए।
जितनी ज़ोर से उसे पकड़ने की कोशिश की
उतनी ही ढीली पड़ती गई पकड़ मेरे हाथ की
और फ़िजूल हो गई वर्षों की तामीर
जैसे कुछ ठोस था ही नहीं,
सिर्फ़ ढेर।
मलबे के ढेर में बैठे हुए,
मेरी दृष्टि जब प्रेम पर पड़ी
मेरी आत्मा सिहर उठी
छाँछ को फूँक-फूँक के पीने के बजाए
मेरे अंदर की दूध जली बिल्ली ने
न दूध देखा न खीर
और दम दबाकर भाग पड़ी
प्रेम,
इस बार मेरे जीवन में आकर
मुझे भींच लेता है
और तब तक गले लगाए रखता है
जब तक मेरे सभी संताप,
पिघल कर उसकी बाहों में गिर नहीं जाते
जा तक दीख नहीं जाता
मुझे उसकी आँखों में ब्रह्माँड।
देते हुए संकेत,
ऐसे भूचाल का,
जो इति भी है और उत्पत्ति भी।
prem,
mere jivan mein,
sadaiv hi bhuchal ki tarah aaya
tab bhi,
jab wo prem tha bhi nahin.
prem ki chaah, prem ki chhuan
kahan kahan nahin le gai mujhe
apni aas mae.
prem ne mujhe, prem hote hue bhi
prem DhunDhane par vivash kar diya.
ya phir, dobara ankh lagne par
kar diya badhya
mez ke niche chhupkar
khud ko aur prem ko bachane ke liye.
jitni zor se use pakaDne ki koshish ki
utni hi Dhili paDti gai pakaD mere haath ki
aur fijul ho gai varshon ki tamir
jaise kuch thos tha hi nahin,
sirf Dher.
malbe ke Dher mein baithe hue,
meri drishti jab prem par paDi
meri aatma sihar uthi
chhaanchh ko phoonk phoonk ke pine ke bajaye
mere andar ki doodh jali billi ne
na doodh dekha na kheer
aur dam daba kar bhaag paDi
prem,
is baar mere jivan mein aakar
mujhe bheench leta hai
aur tab tak gale lagaye rakhta hai
jab tak mere sabhi santap,
pighal kar uski bahon mein gir nahin jate
ja tak deekh nahin jata
mujhe uski ankhon mein brahmanD.
dete hue sanket,
aise bhuchal ka,
jo iti bhi hai aur utpatti bhi.
prem,
mere jivan mein,
sadaiv hi bhuchal ki tarah aaya
tab bhi,
jab wo prem tha bhi nahin.
prem ki chaah, prem ki chhuan
kahan kahan nahin le gai mujhe
apni aas mae.
prem ne mujhe, prem hote hue bhi
prem DhunDhane par vivash kar diya.
ya phir, dobara ankh lagne par
kar diya badhya
mez ke niche chhupkar
khud ko aur prem ko bachane ke liye.
jitni zor se use pakaDne ki koshish ki
utni hi Dhili paDti gai pakaD mere haath ki
aur fijul ho gai varshon ki tamir
jaise kuch thos tha hi nahin,
sirf Dher.
malbe ke Dher mein baithe hue,
meri drishti jab prem par paDi
meri aatma sihar uthi
chhaanchh ko phoonk phoonk ke pine ke bajaye
mere andar ki doodh jali billi ne
na doodh dekha na kheer
aur dam daba kar bhaag paDi
prem,
is baar mere jivan mein aakar
mujhe bheench leta hai
aur tab tak gale lagaye rakhta hai
jab tak mere sabhi santap,
pighal kar uski bahon mein gir nahin jate
ja tak deekh nahin jata
mujhe uski ankhon mein brahmanD.
dete hue sanket,
aise bhuchal ka,
jo iti bhi hai aur utpatti bhi.
स्रोत :
पुस्तक : उड़हुल का फूल (पृष्ठ 107)
रचनाकार : आकांक्षा
प्रकाशन : आईसेक्ट पब्लिकेशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.