पहली बार चलना सीख रही है मेरी बच्ची
फिर गिरेगी, उठना सीखेगी
लड़की को चलना सीखना ही पड़ता है
इस तरह दुनिया का शुक्रिया।
उस तरफ़ चलना मेरी बच्ची
जिधर सूरज सबके लिए बाँहें फैलाए खड़ा हो
उस भीड़ का हिस्सा कभी मत बनना
जहाँ आग लगाकर चल रहे हैं लोग
उधर नहीं जहाँ चलने से पहले देखने पड़े ख़तरे
जो भटक गए हैं चलकर, उन्हें थामना
चलना सबको साथ लेकर।
इस तरह चलना
कि क़दमों की आहट से डरे न कोई
ऐसे जैसे चलकर आती है
सुबह की पहली किरण
या कोई मीठी याद चुपके से सपनों में
जो बहुत तेज़ चल रहे घबराना नहीं उनसे
ठंडी ओस की तरह छूना ज़मीन को
बुलडोज़र की तरह नहीं मेरी बच्ची।
जहाँ सबसे अधिक जाम था सड़कों पर
पैदल चलने वाले ही पहुँचे सबसे पहले मंज़िल पर।
दुनिया जो बहुत तेज़ चल रही है
उससे कोई गिला नहीं रखना
चलते-चलते कोई नहीं उड़ सका आज तक
इसीलिए चलना चलने की तरह।
थक कर सुस्ताना किसी नरम घास पर।
दुनिया के सब रहनुमाओं
सब योद्धाओं, मसीहाओं से प्रार्थना है मेरी
जो चल रहे हैं किसी का घर जलाने
किसी से लड़ने बीच सड़क पर
गालियाँ बकने किसी के मोहल्ले में
या बिना बात कई ख़ेमों में बँटने
मार काट करने
कुछ देर आराम कर लें
शोर न करें अपनी आहट से।
मेरी बच्ची ने अपना पहला क़दम
चलना सीखा है
और अब थककर सोना चाहती है।
pahli bar chalna seekh rahi hai meri bachchi
phir giregi, uthna sikhegi
laDki ko chalna sikhna hi paDta hai
is tarah duniya ka shukriya
us taraf chalna meri bachchi
jidhar suraj sabke liye banhen phailaye khaDa ho
us bheeD ka hissa kabhi mat banna
jahan aag lagakar chal rahe hain log
udhar nahin jahan chalne se pahle dekhne paDe khatre
jo bhatak gaye hain chalkar, unhen thamna
chalna sabko sath lekar
is tarah chalna
ki qadmon ki aahat se Dare na koi
aise jaise chalkar aati hai
subah ki pahli kiran
ya koi mithi yaad chupke se sapnon mein
jo bahut tez chal rahe ghabrana nahin unse
thanDi os ki tarah chhuna zamin ko
bulldozer ki tarah nahin meri bachchi
jahan sabse adhik jam tha saDkon par
paidal chalne wale hi pahunche sabse pahle manzil par
duniya jo bahut tez chal rahi hai
usse koi gila nahin rakhna
chalte chalte koi nahin uD saka aaj tak
isiliye chalna chalne ki tarah
thak kar sustana kisi naram ghas par
duniya ke sab rahanumaon
sab yoddhaon, masihaon se pararthna hai meri
jo chal rahe hain kisi ka ghar jalane
kisi se laDne beech saDak par
galiyan bakne kisi ke mohalle mein
ya bina baat kai khemon mein bantane
mar kat karne
kuch der aram kar len
shor na karen apni aahat se
meri bachchi ne apna pahla qadam
chalna sikha hai
aur ab thakkar sona chahti hai
pahli bar chalna seekh rahi hai meri bachchi
phir giregi, uthna sikhegi
laDki ko chalna sikhna hi paDta hai
is tarah duniya ka shukriya
us taraf chalna meri bachchi
jidhar suraj sabke liye banhen phailaye khaDa ho
us bheeD ka hissa kabhi mat banna
jahan aag lagakar chal rahe hain log
udhar nahin jahan chalne se pahle dekhne paDe khatre
jo bhatak gaye hain chalkar, unhen thamna
chalna sabko sath lekar
is tarah chalna
ki qadmon ki aahat se Dare na koi
aise jaise chalkar aati hai
subah ki pahli kiran
ya koi mithi yaad chupke se sapnon mein
jo bahut tez chal rahe ghabrana nahin unse
thanDi os ki tarah chhuna zamin ko
bulldozer ki tarah nahin meri bachchi
jahan sabse adhik jam tha saDkon par
paidal chalne wale hi pahunche sabse pahle manzil par
duniya jo bahut tez chal rahi hai
usse koi gila nahin rakhna
chalte chalte koi nahin uD saka aaj tak
isiliye chalna chalne ki tarah
thak kar sustana kisi naram ghas par
duniya ke sab rahanumaon
sab yoddhaon, masihaon se pararthna hai meri
jo chal rahe hain kisi ka ghar jalane
kisi se laDne beech saDak par
galiyan bakne kisi ke mohalle mein
ya bina baat kai khemon mein bantane
mar kat karne
kuch der aram kar len
shor na karen apni aahat se
meri bachchi ne apna pahla qadam
chalna sikha hai
aur ab thakkar sona chahti hai
स्रोत :
रचनाकार : निखिल आनंद गिरि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.