पहाड़ की औरतें
सूरज को जगाती हैं
मुँह अँधेरे
बनाकर गुड़ की चाय
और उतारती हैं
सूर्य-रश्मियों को
जब जाती हैं धारे में
भर लेती हैं सूरज की किरणों को
जब भरती हैं
बंठा धारे के पानी से
पहाड़ की औरतें रखती हैं
सूरज के लिए
कुछ पल आराम के
भरी दुपहरी में
सुस्ता लेता है भास्कर
पहाड़ी औरतों के सिर पर रखे
घास के बोझ तले!
और साँझ को
जब गोधूलि बेला में
आते हैं पशु-पक्षी अपने
आशियानों में लौटकर
तो सूरज को भी कर देती हैं
विदा...
अपनी रसोई में चूल्हे की
आग जलाकर!
पहाड़ी औरतें
रखती हैं बनाकर यादों को
कुट्यारी
और जब कमर झुक जाती है उनकी
तो समूण बनाकर
सौंप देती हैं वो कुट्यारी
अपने नाती-पोतों को!
पहाड़ी औरतें असमय ही
हो जाती हैं बूढ़ी!
क्योंकि उन्हें होता है
तज़ुर्बा चढ़ाई का और रपटीली ढलानों का भी!
पहाड़ी औरतों के चेहरे की झुर्रियों में
पूरा पहाड़ दिखाई देता है
लदा होता है उनके कांधों पर
बोझ पहाड़ जैसा!
पहाड़ की औरतें
नहीं डरती चढ़ाइयों को देखकर
यूँ ही नहीं घबराती
उतरती रपटीली पगडंडियों पर चलने से
क्योंकि वो रोज़ ही भरती हैं कुलाँचे
किसी कस्तूरी मृग सी इन रास्तों पर
असल में पहाड़ी औरतें
रखती हैं एक पूरा पहाड़
अपने अंदर!
उनके गुठ्यार में
लिखी होती हैं
पहाड़ की पीड़ाएँ!
pahaD ki aurten
suraj ko jagati hain
munh andhere
banakar guD ki chay
aur utarti hain
surya rashmiyon ko
jab jati hain dhare mein
bhar leti hain suraj ki kirnon ko
jab bharti hain
bantha dhare ke pani se
pahaD ki aurten rakhti hain
suraj ke liye
kuch pal aram ke
bhari dupahri mein
susta leta hai bhaskar
pahaDi aurton ke sir par rakhe
ghas ke bojh tale!
aur sanjh ko
jab godhuli bela mein
ate hain pashu pakshi apne
ashiyanon mein lautkar
to suraj ko bhi kar deti hain
wida
apni rasoi mein chulhe ki
ag jalakar!
pahaDi aurten
rakhti hain banakar yadon ko
kutyari
aur jab kamar jhuk jati hai unki
to samun banakar
saump deti hain wo kutyari
apne nati poton ko!
pahaDi aurten asamay hi
ho jati hain buDhi!
kyonki unhen hota hai
tazurba chaDhai ka aur raptili Dhalanon ka bhee!
pahaDi aurton ke chehre ki jhurriyon mein
pura pahaD dikhai deta hai
lada hota hai unke kandhon par
bojh pahaD jaisa!
pahaD ki aurten
nahin Darti chaDhaiyon ko dekhkar
yoon hi nahin ghabrati
utarti raptili pagDanDiyon par chalne se
kyonki wo roz hi bharti hain kulanche
kisi kasturi mrig si in raston par
asal mein pahaDi aurten
rakhti hain ek pura pahaD
apne andar!
unke guthyar mein
likhi hoti hain
pahaD ki piDayen!
pahaD ki aurten
suraj ko jagati hain
munh andhere
banakar guD ki chay
aur utarti hain
surya rashmiyon ko
jab jati hain dhare mein
bhar leti hain suraj ki kirnon ko
jab bharti hain
bantha dhare ke pani se
pahaD ki aurten rakhti hain
suraj ke liye
kuch pal aram ke
bhari dupahri mein
susta leta hai bhaskar
pahaDi aurton ke sir par rakhe
ghas ke bojh tale!
aur sanjh ko
jab godhuli bela mein
ate hain pashu pakshi apne
ashiyanon mein lautkar
to suraj ko bhi kar deti hain
wida
apni rasoi mein chulhe ki
ag jalakar!
pahaDi aurten
rakhti hain banakar yadon ko
kutyari
aur jab kamar jhuk jati hai unki
to samun banakar
saump deti hain wo kutyari
apne nati poton ko!
pahaDi aurten asamay hi
ho jati hain buDhi!
kyonki unhen hota hai
tazurba chaDhai ka aur raptili Dhalanon ka bhee!
pahaDi aurton ke chehre ki jhurriyon mein
pura pahaD dikhai deta hai
lada hota hai unke kandhon par
bojh pahaD jaisa!
pahaD ki aurten
nahin Darti chaDhaiyon ko dekhkar
yoon hi nahin ghabrati
utarti raptili pagDanDiyon par chalne se
kyonki wo roz hi bharti hain kulanche
kisi kasturi mrig si in raston par
asal mein pahaDi aurten
rakhti hain ek pura pahaD
apne andar!
unke guthyar mein
likhi hoti hain
pahaD ki piDayen!
स्रोत :
रचनाकार : रुचि बहुगुणा उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.