मैं नहीं जानता
पहाड़ के बारे में
ठीक-ठीक
कुछ भी
लेकिन एक पहाड़-सी लड़की को जानता हूँ
मुझ मैदानी के लिए
पहाड़ हमेशा विस्मय का विषय रहा
अपनी जिज्ञासाएँ लेकर
मैं जब उसकी गोद में लेटा
मुझे मेरी आत्मा पर लगे दाग़ दिखे
मैदानी यांत्रिकता से दूर
मैं जब भी गया उसके क़रीब
उसने गले लगाकर मेरा स्वागत किया
स्थिर भाव से
जी भर उसने सुना मुझे
मैं समझता हूँ
उसके कई कान हैं
हमारे दो हैं
जिसने सुनना बंद कर दिया है
मुझ जैसे लोग
जिसे समाज अपनी भाषा में उत्पाद कहता है
उसे मैं उसी की भाषा में जवाब देना चाहता हूँ
मैं लौटता रहता हूँ
पहाड़ के पास
मुझे वह भाषा सीखनी है।
main nahin janta
pahaD ke bare mein
theek theek
kuch bhi
lekin ek pahaD si laDki ko janta hoon
mujh maidani ke liye
pahaD hamesha wismay ka wishay raha
apni jigyasayen lekar
main jab uski god mein leta
mujhe meri aatma par lage dagh dikhe
maidani yantrikta se door
main jab bhi gaya uske qarib
usne gale lagakar mera swagat kiya
sthir bhaw se
ji bhar usne suna mujhe
main samajhta hoon
uske kai kan hain
hamare do hain
jisne sunna band kar diya hai
mujh jaise log
jise samaj apni bhasha mein utpad kahta hai
use main usi ki bhasha mein jawab dena chahta hoon
main lautta rahta hoon
pahaD ke pas
mujhe wo bhasha sikhni hai
main nahin janta
pahaD ke bare mein
theek theek
kuch bhi
lekin ek pahaD si laDki ko janta hoon
mujh maidani ke liye
pahaD hamesha wismay ka wishay raha
apni jigyasayen lekar
main jab uski god mein leta
mujhe meri aatma par lage dagh dikhe
maidani yantrikta se door
main jab bhi gaya uske qarib
usne gale lagakar mera swagat kiya
sthir bhaw se
ji bhar usne suna mujhe
main samajhta hoon
uske kai kan hain
hamare do hain
jisne sunna band kar diya hai
mujh jaise log
jise samaj apni bhasha mein utpad kahta hai
use main usi ki bhasha mein jawab dena chahta hoon
main lautta rahta hoon
pahaD ke pas
mujhe wo bhasha sikhni hai
स्रोत :
रचनाकार : गौरव भारती
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.