वह चुपके से झर जाता
इससे पहले मैंने देख लिया
बीती साँझ झुकी डाल पर निपट अकेला
खिला था वह पीला कनेर
क्वार की साँझ भर उठी थी
आच्छादित मेघों की गर्ज़न से
आकाश रह रह कर चिहुंक उठता
पानी की आवाज़ें पीछा करते
समीप और समीप आ चुकी थी
अनुभव से जानता, कि
कहीं दूर बरस चुके हैं बादल
अन्नदाता के आँखों की कातरता
उतर आई थी उसकी आँखों में
बदलते ऋतु चक्र में इससे पहले कि वह
भीगकर विलग हो जाता डाल से
या तोड़कर चढ़ा दिया जाता
किसी ईश की प्रस्तर प्रतिमा पर
उसने चींटियों को रास्ता देना स्वीकार किया
और बनाए रखी धरती पर एक रंग की उपस्थिति
ऐसे विषम समय में जब नहीं छोड़ता
कोई इंच भर भी जगह किसी के लिए
उसने रिक्त किया अपना स्थान
और जगह दी
जैसे पानी देता है जगह मछलियों को
प्रेम में छोड़ देना अपनी जगह
उसके होने का सबसे बड़ा निमित्त है!
wo chupke se jhar jata
isse pahle mainne dekh liya
biti saanjh jhuki Daal par nipat akela
khila tha wo pila kaner,
kvaar ki saanjh bhar uthi thi
achchhadit meghon ki garzan se
akash rah rah kar chihukan uthta
pani ki avazen pichha karte
samip aur samip aa chuki thi
anubhav se janta, ki
kahin door baras chuke hain badal,
anndata ke ankhon ki katarta
utar aai thi uski ankhon mein
badalte ritu chakr mein isse pahle ki wo
bheeg kar vilag ho jata Daal se
ya toD kar chaDha diya jata
kisi iish ki prastar pratima par
usne chintiyon ko rasta dena svikar kiya
aur banaye rakhi dharti par ek rang ki upasthiti,
aise visham samay mein jab nahin chhoDta
koi inch bhar bhi jagah kisi ke liye
usne rikt kiya apna sthaan
aur jagah di
jaise pani deta hai jagah machhaliyon ko
prem mein chhoD dena apni jagah
uske hone ka sabse baDa nimitt hai!
wo chupke se jhar jata
isse pahle mainne dekh liya
biti saanjh jhuki Daal par nipat akela
khila tha wo pila kaner,
kvaar ki saanjh bhar uthi thi
achchhadit meghon ki garzan se
akash rah rah kar chihukan uthta
pani ki avazen pichha karte
samip aur samip aa chuki thi
anubhav se janta, ki
kahin door baras chuke hain badal,
anndata ke ankhon ki katarta
utar aai thi uski ankhon mein
badalte ritu chakr mein isse pahle ki wo
bheeg kar vilag ho jata Daal se
ya toD kar chaDha diya jata
kisi iish ki prastar pratima par
usne chintiyon ko rasta dena svikar kiya
aur banaye rakhi dharti par ek rang ki upasthiti,
aise visham samay mein jab nahin chhoDta
koi inch bhar bhi jagah kisi ke liye
usne rikt kiya apna sthaan
aur jagah di
jaise pani deta hai jagah machhaliyon ko
prem mein chhoD dena apni jagah
uske hone ka sabse baDa nimitt hai!
स्रोत :
पुस्तक : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
रचनाकार : सीमा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.