कैसे निकलते हैं दिन
निकल जाता है
सूरज भी
और अँधेरा आता है
जो दिन होने तक
दहलाता रहता है
कैसे निकल पाती है नदी
पहाड़ खड़ा-खड़ा
देखता रहता है
नदी निकलकर चली जाती है
बहना बचा रहता है उसका
जितना जैसे बने
बहते रहना!
ऐसा भी होता है
दिन स्मृतियों में बहकर
निकल जाता है
सूखता है
नदी की तरह बहकर भी
सूखती चलती है उम्र,
स्मृतियों की रेत चिलकती है
किरकिराते हैं, कौंधते एहसास
दिन हर बार बहकर निकल जाता है
आगे, रात में
चमकते तारे चुभते हैं—
रेत जैसे किरकिराते हैं,
चीख़ना नहीं है
सतर्कता सावधान करती है
क्योंकि दिन, दिन ही है
जो रात को ठेलकर
आता है, बढ़ता हुआ—
दिन, होने के लिए!
kaise nikalte hain din
nikal jata hai
suraj bhi
aur andhera aata hai
jo din hone tak
dahlata rahta hai
kaise nikal pati hai nadi
pahaD khaDa khaDa
dekhta rahta hai
nadi nikalkar chali jati hai
bahna bacha rahta hai uska
jitna jaise bane
bahte rahna!
aisa bhi hota hai
din smritiyon mein bahkar
nikal jata hai
sukhta hai
nadi ki tarah bahkar bhi
sukhti chalti hai umr,
smritiyon ki ret chilakti hai
kirakirate hain, kaundhte ehsas
din har bar bahkar nikal jata hai
age, raat mein
chamakte tare chubhte hain—
ret jaise kirakirate hain,
chikhna nahin hai
satarkata sawdhan karti hai
kyonki din, din hi hai
jo raat ko thelkar
ata hai, baDhta hua—
din, hone ke liye!
kaise nikalte hain din
nikal jata hai
suraj bhi
aur andhera aata hai
jo din hone tak
dahlata rahta hai
kaise nikal pati hai nadi
pahaD khaDa khaDa
dekhta rahta hai
nadi nikalkar chali jati hai
bahna bacha rahta hai uska
jitna jaise bane
bahte rahna!
aisa bhi hota hai
din smritiyon mein bahkar
nikal jata hai
sukhta hai
nadi ki tarah bahkar bhi
sukhti chalti hai umr,
smritiyon ki ret chilakti hai
kirakirate hain, kaundhte ehsas
din har bar bahkar nikal jata hai
age, raat mein
chamakte tare chubhte hain—
ret jaise kirakirate hain,
chikhna nahin hai
satarkata sawdhan karti hai
kyonki din, din hi hai
jo raat ko thelkar
ata hai, baDhta hua—
din, hone ke liye!
स्रोत :
रचनाकार : मलय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.