यह एक बेचैन करने वाली रात है
जब तारे अबरख की तरह चमक रहे हैं
जब फड़फड़ाते हैं पक्षी सारी-सारी रात
इस टहनी से उस पेड़ तक
सन्नाटा है अनवरत उस पंख से भरा
जो भागने की हड़बड़ी में झड़ गए
पोखर के पानी की सतह पर
जमी हरियाली की तरह हो गई है रात
कोई बतख़ नहीं जो बहे और पानी को कँपा दे
अब रंगों से भरी हँसी भी नहीं रही
जो सपनों में खोए चेहरे पर फैल जाती जलकुंभी थी
जाड़े की धूप की तरह जो कोमल गर्म और मुलायम हो
मैं उसी सपने की तलाश में हूँ
ये सपने मैं सौंप देना चाहता हूँ हर उस आँख को
जो इतनी हताश है कि मुट्ठी में ज़हर लेकर घूम रही है।
ye ek bechain karne wali raat hai
jab tare abrakh ki tarah chamak rahe hain
jab phaDphaDate hain pakshi sari sari raat
is tahni se us peD tak
sannata hai anawrat us pankh se bhara
jo bhagne ki haDbaDi mein jhaD gaye
pokhar ke pani ki satah par
jami hariyali ki tarah ho gai hai raat
koi batakh nahin jo bahe aur pani ko kanpa de
ab rangon se bhari hansi bhi nahin rahi
jo sapnon mein khoe chehre par phail jati jalkumbhi thi
jaDe ki dhoop ki tarah jo komal garm aur mulayam ho
main usi sapne ki talash mein hoon
ye sapne main saump dena chahta hoon har us ankh ko
jo itni hatash hai ki mutthi mein zahr lekar ghoom rahi hai

स्रोत :
रचनाकार : शंकरानंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.