हर कोई अपने हिस्से की
बची हुई नींद
पूरी करने में लगा हुआ है
कोई दुनिया के शोर से विपरीत
सुखद सपनों की तलाश में
तो कोई लंबी थकावट के बाद
सूकून भरी सुबह के इंतज़ार में
नींद ने कभी किसी को
अपने पास आने से मना नहीं किया
शायद इसलिए, वो सबकी क़रीबी है
जब वो आती हैं
तो हर कोई उसे ख़ामोशी के साथ
अपना लेता है।
नींद, हमारी अधूरी ख़्वाहिशों को
सपनों में जगह देकर
पूरा करने की कोशिश करती हैं
इसलिए, दुनिया के सबसे
अकेले आदमी के हिस्से तक
होती है नींद
वो भेदभाव तक नहीं कर पाती
वो नहीं देखती जात-पात
वो नहीं देखती तुम्हारी नस्ल और मज़हब
वो नहीं झाँकती तुम्हारे बदन पर
अपनाने से पहले
नींद सबके हिस्से आती है
आकाश में उड़ते आज़ाद पक्षी से लेकर
कारागाह में क़ैद, क़ैदी तक के
सोचता हूँ
दुनिया को नींद की तरह होना चाहिए
सबको अपनाने वाली और
मुफ़्त में सपने दिखाने वाली...
har koi apne hisse ki
bachi hui neend
puri karne mein laga hua hai
koi duniya ke shor se viprit
sukhad sapnon ki talash men
to koi lambi thakavat ke baad
sukun bhari subah ke intzaar men
neend ne kabhi kisi ko
apne paas aane se mana nahin kiya
shayad isliye, wo sabki qaribi hai
jab wo aati hain
to har koi use khamoshi ke saath
apna leta hai.
neend, hamari adhuri khvahishon ko
sapnon mein jagah dekar
pura karne ki koshish karti hain
isliye, duniya ke sabse
akele adami ke hisse tak
hoti hai neend
wo bhedabhav tak nahin kar pati
wo nahin dekhti jaat paat
wo nahin dekhti tumhari nasl aur mazhab
wo nahin jhankti tumhare badan par
apnane se pahle
neend sabke hisse aati hai
akash mein uDte azad pakshi se lekar
karagah mein qaid, qaidi tak ke
sochta hoon
duniya ko neend ki tarah hona chahiye
sabko apnane vali aur
muft mein sapne dikhane vali. . .
har koi apne hisse ki
bachi hui neend
puri karne mein laga hua hai
koi duniya ke shor se viprit
sukhad sapnon ki talash men
to koi lambi thakavat ke baad
sukun bhari subah ke intzaar men
neend ne kabhi kisi ko
apne paas aane se mana nahin kiya
shayad isliye, wo sabki qaribi hai
jab wo aati hain
to har koi use khamoshi ke saath
apna leta hai.
neend, hamari adhuri khvahishon ko
sapnon mein jagah dekar
pura karne ki koshish karti hain
isliye, duniya ke sabse
akele adami ke hisse tak
hoti hai neend
wo bhedabhav tak nahin kar pati
wo nahin dekhti jaat paat
wo nahin dekhti tumhari nasl aur mazhab
wo nahin jhankti tumhare badan par
apnane se pahle
neend sabke hisse aati hai
akash mein uDte azad pakshi se lekar
karagah mein qaid, qaidi tak ke
sochta hoon
duniya ko neend ki tarah hona chahiye
sabko apnane vali aur
muft mein sapne dikhane vali. . .
स्रोत :
रचनाकार : हिमांक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.