सामने बग़ीचे में
पतझड़ के मौसम में भी
नीम पुलकित है
उदास नहीं है वह
पत्तियों के झड़ने से
अब भी वह सुन लेता है
पंछियों के मधुर कंठ...!
सुरीली
मीठी बोलियाँ
अब भी फुदकती हैं
ठेठ ऊपर वाली फुनगी
पर गिलहरियाँ
कृतज्ञ है नीम
बग़ल वाले उदार
शीशम के हरेपन का
मर्मर की
नूपुर ध्वनि अब भी
नीम को
सुलाती और जगाती है...!
शीशम की गोद में
अलसाती है अब भी
नीम की टहनियाँ
ग्रीष्म की दुपहर में...
पवन बटोर लाती है
अपने साथ
कुछ सूखी कुछ पीली
पत्तियाँ...
पत्तियाँ भी
निर्भीक उड़ती हैं
पवन की उँगली थामे
जानती है
निमिष भर में ही
अकेली, कहीं
दूर जा पड़ेगी
अज्ञात पथ पर..!
करुण भाव से
चुन लेते हैं अश्रु
तब धीरज धर
नवागत का आह्लाद
हृदय में...!!
samne bagiche mein
patjhaD ke mausam
mein bhi neem pulkit hai
udaas nahin hai wo
pattiyon ke jhaDne se
ab bhi wo sun leta hai
panchhiyon
ke madhur kanth. . . !
surili
mithi boliyan
ab bhi phudakti hai
theth upar vali phungi
par gilahriyan
kritaj~n hai neem
bagal vale udaar
shisham ke harepan ka
marmar ki
nupur dhvani ab bhi
neem ko
sulati aur jagati hai. . . !
shisham ki god mein
alsati hai ab bhi
neem ki tahniyan,
greeshm ki dopahar mein. . .
pavan bator lati hai
apne saath
kuch sukhi kuch pili
pattiyan. . .
pattiyan bhi
nirbhik uDti hain
pavan ki ungli thamen
janti hai
nimish bhar mein hi
akeli, kahin
door ja paDegi
agyat path par. . !
karun bhaav se
chun lete hain ashru
tab dhiraj dhar
navagat ka ahlad
hirdai mein. . . !!
samne bagiche mein
patjhaD ke mausam
mein bhi neem pulkit hai
udaas nahin hai wo
pattiyon ke jhaDne se
ab bhi wo sun leta hai
panchhiyon
ke madhur kanth. . . !
surili
mithi boliyan
ab bhi phudakti hai
theth upar vali phungi
par gilahriyan
kritaj~n hai neem
bagal vale udaar
shisham ke harepan ka
marmar ki
nupur dhvani ab bhi
neem ko
sulati aur jagati hai. . . !
shisham ki god mein
alsati hai ab bhi
neem ki tahniyan,
greeshm ki dopahar mein. . .
pavan bator lati hai
apne saath
kuch sukhi kuch pili
pattiyan. . .
pattiyan bhi
nirbhik uDti hain
pavan ki ungli thamen
janti hai
nimish bhar mein hi
akeli, kahin
door ja paDegi
agyat path par. . !
karun bhaav se
chun lete hain ashru
tab dhiraj dhar
navagat ka ahlad
hirdai mein. . . !!
स्रोत :
रचनाकार : प्रमिला शंकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.