(एक)
माँ मेरा नाम
एक फूल के नाम पर रखना चाहती थीं
जबकि पिता
किसी ईश्वर के नाम पर मेरा नाम चाहते थे
बाद में पिता ने अपनी ज़िद नहीं छोड़ी
और उन्हें मौक़ा दिया गया
विकल्प इतने ज़्यादा थे कि
वे दुविधा में पड़ गए
ईश्वर भी कुछ कम नहीं थे
तिस पर एक-एक ईश्वर के सैकड़ों नाम
अंत में उन्होंने घबराकर अपनी ज़िद छोड़ दी
फिर माँ ने मेरा नाम
एक फूल के नाम पर रखा।
(दो)
पहले वे
जिनके नाम फूलों के नाम पर थे
फिर वे जिनके नाम
सूरज, पहाड़, झरना और नदी के नाम पर थे
कुछ के नाम चंद्रमा उसकी सोलह कलाओं
और तो और
तारों के नाम पर भी थे
नाम इतने प्राकृतिक थे कि
जब हमने पहली बार छठवीं कक्षा में
'नर्मदा बचाओ' और 'चिपको'
के बारे में पढ़ा
तो हमें पहले-पहल यक़ीन नहीं हुआ
(तीन)
मेरे पड़ोस के
एक दंपति में पत्नी का नाम सरोज था
और पति का नाम अरविंद
थे दोनों के नाम किसी फूल के ही समानार्थी
नामकरण में
कोई लैंगिक विभेद नहीं था
न ही कोई पितृसत्तात्मकता
सोचता हूँ जो समानता नामों में थी
वह जीवन में क्यों नहीं थी?
(चार)
गाँव के कुछ लोग जिन्हें
जबरन दक्षिण में बसाया गया था
के नाम
गोबर, धुन्ना और बोदू थे
अमूमन सबके नाम ऐसे ही थे
उन्हे किसी भी ईश्वर, फूल और नदी
के नाम पर अपने बच्चों के नाम
नहीं रखने दिया गया था
(ek)
maan mera naam
ek phool ke naam par rakhna chahti theen
jabki pita
kisi iishvar ke naam par mera naam chahte the
baad mein pita ne apni zid nahin chhoDi
aur unhen mauqa diya gaya
vikalp itne zyada the ki
ve duvidha mein paD ge
iishvar bhi kuch kam nahin the
tis par ek ek iishvar ke saikDon naam
ant mein unhonne ghabrakar apni zid chhoD di
phir maan ne mera naam
ek phool ke naam par rakha.
(do)
pahle ve
jinke naam phulon ke naam par the
phir ve jinke naam
suraj, pahaD, jharna aur nadi ke naam par the
kuch ke naam chandrma uski solah kalaon
aur to aur
taron ke naam par bhi the
naam itne prakritik the ki
jab hamne pahli baar chhathvin kaksha men
narmada bachao aur chipko
ke bare mein paDha
to hamein pahle pahal yaqin nahin hua
(teen)
mere paDos ke
ek dampati mein patni ka naam saroj tha
aur pati ka naam arvind
the donon ke naam kisi phool ke hi samanarthi
namakran mein
koi laingik vibhed nahin tha
na hi koi pitrisattatmakta
sochta hoon jo samanata namon mein thi
wo jivan mein kyon nahin thee?
(chaar)
gaanv ke kuch log jinhen
jabran dakshin mein basaya gaya tha
ke naam
gobar, dhunna aur bodu the
amuman sabke naam aise hi the
unhe kisi bhi iishvar, phool aur nadi
ke naam par apne bachchon ke naam
nahin rakhne diya gaya tha
(ek)
maan mera naam
ek phool ke naam par rakhna chahti theen
jabki pita
kisi iishvar ke naam par mera naam chahte the
baad mein pita ne apni zid nahin chhoDi
aur unhen mauqa diya gaya
vikalp itne zyada the ki
ve duvidha mein paD ge
iishvar bhi kuch kam nahin the
tis par ek ek iishvar ke saikDon naam
ant mein unhonne ghabrakar apni zid chhoD di
phir maan ne mera naam
ek phool ke naam par rakha.
(do)
pahle ve
jinke naam phulon ke naam par the
phir ve jinke naam
suraj, pahaD, jharna aur nadi ke naam par the
kuch ke naam chandrma uski solah kalaon
aur to aur
taron ke naam par bhi the
naam itne prakritik the ki
jab hamne pahli baar chhathvin kaksha men
narmada bachao aur chipko
ke bare mein paDha
to hamein pahle pahal yaqin nahin hua
(teen)
mere paDos ke
ek dampati mein patni ka naam saroj tha
aur pati ka naam arvind
the donon ke naam kisi phool ke hi samanarthi
namakran mein
koi laingik vibhed nahin tha
na hi koi pitrisattatmakta
sochta hoon jo samanata namon mein thi
wo jivan mein kyon nahin thee?
(chaar)
gaanv ke kuch log jinhen
jabran dakshin mein basaya gaya tha
ke naam
gobar, dhunna aur bodu the
amuman sabke naam aise hi the
unhe kisi bhi iishvar, phool aur nadi
ke naam par apne bachchon ke naam
nahin rakhne diya gaya tha
स्रोत :
रचनाकार : यशवंत कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.