तुमने इतिहास में रहना चाहा
और इतिहास ही में रह गए
तुम्हें पता था या नहीं क्या मालूम
कि तुम उबर नहीं पाओगे इतिहास से
उठकर आ नहीं पाओगे मेरे पास
मेरी गोद को
पर मैं चाहती थी कि
तुम बनो नहीं इतिहास
और रहो तुम पास-पास मेरे
तुम्हारी दो आँखें ताराओं की भाँति
चलती रहें मेरे साथ-साथ
स्वर तुम्हारे आधी रात मुझे
दिलासा की लहर बन सहला दें;
विस्तारित मयूर चंद्रिका की भाँति
मेरी गोद पर
तुम्हारा स्नेह का समीरण डोलता रहे
और एकांत व्यक्तिगतता मेरी
कभी भी न बने इतिहास
इतिहास की प्रस्तरीभूत नीरवता को
मैं जितना जानती हूँ
समय की उदासीन नज़र से
जितना मैं समझती हूँ
उसी से मुझे अहसास है कि
इतिहास के पृष्ठों के बाहर
तुम आ ही नहीं सकते
समय की परत-परत गहराई से
उठकर आ नहीं सकते
राह इस भाँति सूनी होगी
ठंडी हवा बहती होगी बार-बार
अँधेरा छाया होगा चारों ओर
कल्पना का इंद्रजाल
तुम्हें बनाता बिगाड़ता होगा
पता नहीं कई बार
इतिहास न मुझे पहचानता है
न तुम्हें
इतिहास है राजाधिराज
पहचानता ही नहीं आम आदमी को
चिरजीवन के आस्फालन से
कुचल डालता है वह
हृदय के निवेदन को।
tumne itihas mein rahna chaha
aur itihas hi mein rah gaye
tumhein pata tha ya nahin kya malum
ki tum ubar nahin paoge itihas se
uthkar aa nahin paoge mere pas
meri god ko
par main chahti thi ki
tum bano nahin itihas
aur raho tum pas pas mere
tumhari do ankhen taraon ki bhanti
chalti rahen mere sath sath
swar tumhare aadhi raat mujhe
dilasa ki lahr ban sahla den;
wistarit mayur chandrika ki bhanti
meri god par
tumhara sneh ka samiran Dolta rahe
aur ekant wyaktigatta meri
kabhi bhi na bane itihas
itihas ki prastaribhut nirawta ko
main jitna janti hoon
samay ki udasin nazar se
jitna main samajhti hoon
usi se mujhe ahsas hai ki
itihas ke prishthon ke bahar
tum aa hi nahin sakte
samay ki parat parat gahrai se
uthkar aa nahin sakte
rah is bhanti suni hogi
thanDi hawa bahti hogi bar bar
andhera chhaya hoga charon or
kalpana ka indrjal
tumhein banata bigaDta hoga
pata nahin kai bar
itihas na mujhe pahchanta hai
na tumhein
itihas hai rajadhiraj
pahchanta hi nahin aam adami ko
chirjiwan ke asphalan se
kuchal Dalta hai wo
hirdai ke niwedan ko
tumne itihas mein rahna chaha
aur itihas hi mein rah gaye
tumhein pata tha ya nahin kya malum
ki tum ubar nahin paoge itihas se
uthkar aa nahin paoge mere pas
meri god ko
par main chahti thi ki
tum bano nahin itihas
aur raho tum pas pas mere
tumhari do ankhen taraon ki bhanti
chalti rahen mere sath sath
swar tumhare aadhi raat mujhe
dilasa ki lahr ban sahla den;
wistarit mayur chandrika ki bhanti
meri god par
tumhara sneh ka samiran Dolta rahe
aur ekant wyaktigatta meri
kabhi bhi na bane itihas
itihas ki prastaribhut nirawta ko
main jitna janti hoon
samay ki udasin nazar se
jitna main samajhti hoon
usi se mujhe ahsas hai ki
itihas ke prishthon ke bahar
tum aa hi nahin sakte
samay ki parat parat gahrai se
uthkar aa nahin sakte
rah is bhanti suni hogi
thanDi hawa bahti hogi bar bar
andhera chhaya hoga charon or
kalpana ka indrjal
tumhein banata bigaDta hoga
pata nahin kai bar
itihas na mujhe pahchanta hai
na tumhein
itihas hai rajadhiraj
pahchanta hi nahin aam adami ko
chirjiwan ke asphalan se
kuchal Dalta hai wo
hirdai ke niwedan ko
स्रोत :
पुस्तक : समय नहीं है (पृष्ठ 62)
रचनाकार : प्रतिभा शतपथी
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.