नदी मंथर गति से जिस तरह बहती है निज धुन में
बसंती वायु के झोंकों की ये आवारगी जैसे
मुझे पर्वत के जैसे छोड़ दो निर्जन वनों के बीच,
जगत का तट बना दो मैं समंदर की तरह गरजूँ।
मैं अपनी देह का सब शोर, उर का मौन, मन की
भटकनें सब, एक निर्झर में समा दूँ और चिल्ला दूँ
मुझे पीपल-सा नीरव और कर दो झील-सा उद्भ्रांत।
मुझे एकांत दो, जगती! मुझे एकांत।
मुझे भाता नहीं है मार्ग, पत्थर मील के पथ पर
सदा अप्रिय मुझे हैं पाँव जिनमें हैं लगे पदवेश,
व्यथित करतीं हैं मुझको उक्तिया ऊषा बनी फिरतीं
गति जिनका है अंतिम लक्ष्य रुकना और वह विश्राम
जो इक दौड़ की है भूमिका उसको घटा दो,
मेरे जीवन की दीवारों से जेताओं की तस्वीरें हटा दो।
मुझे दो सौंप अकौशल, पराजय और अभिलाषांत।
मुझे एकांत दो, जगती! मुझे एकांत।
nadi manthar gati se jis tarah bahti hai nij dhun mein
basanti wayu ke jhonkon ki ye awargi jaise
mujhe parwat ke jaise chhoD do nirjan wanon ke beech,
jagat ka tat bana do main samandar ki tarah garjun
main apni deh ka sab shor, ur ka maun, man ki
bhataknen sab, ek nirjhar mein sama doon aur chilla doon
mujhe pipal sa niraw aur kar do jheel sa udbhrant
mujhe ekant do, jagti! mujhe ekant
mujhe bhata nahin hai marg, patthar meel ke path par
sada apriy mujhe hain panw jinmen hain lage padwesh,
wyathit kartin hain mujhko uktiya usha bani phirtin
gati jinka hai antim lakshya rukna aur wo wishram
jo ek dauD ki hai bhumika usko ghata do,
mere jiwan ki diwaron se jetaon ki taswiren hata do
mujhe do saump akaushal, parajay aur abhilashant

स्रोत :
रचनाकार : राघवेंद्र शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.