मुझ पर मुहब्बत के राज़ ऐसे ही खुलने थे
जैसे अपनी तमामतर लज़्ज़त के साथ
ज़ुबाँ पर खुलता है ज़ायक़ा
चखे बिना तो नमक तक की परख पूरी नहीं होती
और मैंने मुहब्बत कर ली थी
जिस्म की दहलीज़ पर
रूहानियत की लकीर खींच
बिना किसी आज़माइश के
मुझ पर कैसे ज़ाहिर होता कि
बोसा बदन की सीढ़ी चढ़कर
किस तरह रूह को पी जाता है
कैसे एहसास होता मेरे वजूद को
कि लम्स की दहकन में
बाज़ औक़ात बारूद उतर आता है
मैं नींद से लेकर बेदारी तक
क़हक़हों से लेकर अश्कबारी तक
अपने जिस्म की ख़ाहिशों की ग़ुलाम थी
मेरी कहन मेरी ज़ुबाँ की ज़िम्मे थी
मेरी ख़ामुशी मेरे दिल की रज़ा की तालिब
मेरे लफ़्ज़ों पर मेरे लबों की लगाम थी
मैंने साँस को फेफड़ों में उतार कर महसूस किया था
मैंने पानी को हलक़ की तस्कीन के ज़रिए जिया था
आह! तो फिर फ़क़त मुहब्बत ही में से क्यों
मैंने जिस्म को तफ़रीक़ करना चुन लिया था
यूँ उम्र भर के लिए इक आह को अपना मुक़द्दर कर दिया था
सद अफ़सोस कि अब जबकि ख़ात्मे पर सफ़र है
सवाल बेशुमार हैं, जवाब सारे गुमशुदा
सादा सफ़ह है जिस्म का
और मुहब्बत की तकमील पर ‘रद्द’ की मुहर है!
mujh par muhabbat ke raaz aise hi khulne the
jaise apni tamamatar lazzat ke sath
zuban par khulta hai zayqa
chakhe bina to namak tak ki parakh puri nahin hoti
aur mainne muhabbat kar li thi
jism ki dahliz par
ruhaniyat ki lakir kheench
bina kisi azmaish ke
mujh par kaise zahir hota ki
bosa badan ki siDhi chaDhkar
kis tarah rooh ko pi jata hai
kaise ehsas hota mere wajud ko
ki lams ki dahkan mein
baz auqat barud utar aata hai
main neend se lekar bedari tak
qahaqhon se lekar ashkbari tak
apne jism ki khahishon ki ghulam thi
meri kahan meri zuban ki zimme thi
meri khamushi mere dil ki raza ki talib
mere lafzon par mere labon ki lagam thi
mainne sans ko phephDon mein utar kar mahsus kiya tha
mainne pani ko halaq ki taskin ke zariye jiya tha
ah! to phir fak muhabbat hi mein se kyon
mainne jism ko tafriq karna chun liya tha
yoon umr bhar ke liye ek aah ko apna muqaddar kar diya tha
sad afsos ki ab jabki khatme par safar hai
sawal beshumar hain, jawab sare gumshuda
sada safah hai jism ka
aur muhabbat ki takmil par ‘radd’ ki muhr hai!
mujh par muhabbat ke raaz aise hi khulne the
jaise apni tamamatar lazzat ke sath
zuban par khulta hai zayqa
chakhe bina to namak tak ki parakh puri nahin hoti
aur mainne muhabbat kar li thi
jism ki dahliz par
ruhaniyat ki lakir kheench
bina kisi azmaish ke
mujh par kaise zahir hota ki
bosa badan ki siDhi chaDhkar
kis tarah rooh ko pi jata hai
kaise ehsas hota mere wajud ko
ki lams ki dahkan mein
baz auqat barud utar aata hai
main neend se lekar bedari tak
qahaqhon se lekar ashkbari tak
apne jism ki khahishon ki ghulam thi
meri kahan meri zuban ki zimme thi
meri khamushi mere dil ki raza ki talib
mere lafzon par mere labon ki lagam thi
mainne sans ko phephDon mein utar kar mahsus kiya tha
mainne pani ko halaq ki taskin ke zariye jiya tha
ah! to phir fak muhabbat hi mein se kyon
mainne jism ko tafriq karna chun liya tha
yoon umr bhar ke liye ek aah ko apna muqaddar kar diya tha
sad afsos ki ab jabki khatme par safar hai
sawal beshumar hain, jawab sare gumshuda
sada safah hai jism ka
aur muhabbat ki takmil par ‘radd’ ki muhr hai!
स्रोत :
रचनाकार : कायनात
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.